apne sukun-e-dil ka ab mil gaya sahaara
apne sukūn-e-dil kā ab mil gayā sahārā
imroz shāh-e-shāhāñ mehmāñ shudast maarā
nām-e-ḳhudā mohammad hai kitnā naam pyārā
dil kī murād paa.ī jis ne unheñ pukārā
qurbān huuñ maiñ us kī banda-navāziyoñ par
parde meñ ’abadiyat ke ik ruup jis ne dhārā
kaḌve sahī ba-zāhir ye ghūñT jabr-e-ġham ke
tum mere ho to jaao sab talḳhiyāñ gavārā
ham aap hī ke dar ke TukḌoñ pe pal rahe haiñ
sab aap kā tasadduq sab aap kā utārā
maiñ kis shumār meñ huuñ merī najāt kitnī
baḳhshish ko merī bas hai ik aap kā ishārā
husn-e-'amal kā ġharra sab se baḌī musībat
dāmān-e-mustafā.ī sab se baḌā sahārā
bik kar kisī ke hāthoñ be-fikr jī rahe haiñ
ham ḳhud kisī ke Thahre ab kyā rahā hamārā
sau ’izzatoñ kī 'izzat ik un se rabt-o-nisbat
sab kuchh yahī hai varna kyā tiir ham ne maarā
tāle.a usī ke tāle.a qismat usī kī qismat
jis par nazar tumhārī jis par karam tumhārā
rif'at ko naaz un par paakī nisār un par
tathīr kī taraf hai us se mirā ishārā
faizān-e-muhī-e-dīñ kā phailāo pūchhnā kiyā
miltā nahīñ kahīñ bhī us bahr kā kinārā
ḳhush-baḳht vo gadā jo pīrān-e-pīr kā hai
jitnā baḌā gharānā utnā baḌā sahārā
hai aap hī ke dar kā adnā ġhulām 'kāmil'
us par bhī chashm-e-rahmat yā-sayyadī ḳhudā rā
apne sukun-e-dil ka ab mil gaya sahaara
imroz shah-e-shahan mehman shudast mara
nam-e-KHuda mohammad hai kitna nam pyara
dil ki murad pai jis ne unhen pukara
qurban hun main us ki banda-nawaziyon par
parde mein ’abadiyat ke ek rup jis ne dhaara
kaDwe sahi ba-zahir ye ghunT jabr-e-gham ke
tum mere ho to jao sab talKHiyan gawara
hum aap hi ke dar ke TukDon pe pal rahe hain
sab aap ka tasadduq sab aap ka utara
main kis shumar mein hun meri najat kitni
baKHshish ko meri bas hai ek aap ka ishaara
husn-e-'amal ka gharra sab se baDi musibat
daman-e-mustafai sab se baDa sahaara
bik kar kisi ke hathon be-fikr ji rahe hain
hum KHud kisi ke Thahre ab kya raha hamara
sau ’izzaton ki 'izzat ek un se rabt-o-nisbat
sab kuchh yahi hai warna kya tir hum ne mara
talea usi ke talea qismat usi ki qismat
jis par nazar tumhaari jis par karam tumhaara
rif'at ko naz un par paki nisar un par
tathir ki taraf hai us se mera ishaara
faizan-e-muhi-e-din ka phailao puchhna kiya
milta nahin kahin bhi us bahr ka kinara
KHush-baKHt wo gada jo piran-e-pir ka hai
jitna baDa gharana utna baDa sahaara
hai aap hi ke dar ka adna ghulam 'kaamil'
us par bhi chashm-e-rahmat ya-sayyadi KHuda ra
- Book : Waardaat-e-Kamil (Pg. 11)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.