kaun baiTha hai ab andesha-e-farda le kar
kaun baiThā hai ab andesha-e-fardā le kar
mutma.in huuñ tirī nisbat kā sahārā le kar
apnī qudrat ke tamāshe kabhī dikhlāte haiñ
'abd-e-qādir ke musammā kā vo pardā le kar
jānñe vaalī nigāhoñ ne mujhe jaan liyā
kho gayā maiñ jo kabhī naam kisī kā le kar
dāġh-e-dil zaḳhm-e-jigar dīda-e-kHūn-nāb-fishāñ
ham bhī aa.e haiñ dar-e-yār se kyā kyā le kar
shikva-sanjī ye maze kī hai ki ham dar se tire
aa.e haiñ tañgī-e-dāman hī kā shikvā le kar
har musībat se har ik fikr se har aafat se
chhuT ga.e ham to faqat naam tumhārā le kar
kis pe ehsāñ shah-e-jīlāñ kā nahīñ hai 'kāmil'
palte aa.e haiñ sabhī unkā utārā le kar
kaun baiTha hai ab andesha-e-farda le kar
mutmain hun teri nisbat ka sahaara le kar
apni qudrat ke tamashe kabhi dikhlate hain
'abd-e-qadir ke musamma ka wo parda le kar
jaanne wali nigahon ne mujhe jaan liya
kho gaya main jo kabhi nam kisi ka le kar
dagh-e-dil zaKHm-e-jigar dida-e-kHun-nab-fishan
hum bhi aae hain dar-e-yar se kya kya le kar
shikwa-sanji ye maze ki hai ki hum dar se tere
aae hain tangi-e-daman hi ka shikwa le kar
har musibat se har ek fikr se har aafat se
chhuT gae hum to faqat nam tumhaara le kar
kis pe ehsan shah-e-jilan ka nahin hai 'kaamil'
palte aae hain sabhi unka utara le kar
- Book : Waardaat-e-Kamil (Pg. 64)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.