wahi kuchh husn ke jalwon ka pura lutf pate hain
vahī kuchh husn ke jalvoñ kā puurā lutf paate haiñ
jo apne dil ko ḳhud ik mustaqil kā'ba banāte haiñ
vo aate jaate jab sāz-e-nafas ko chheḌ jaate haiñ
mire ajzā-e-hastī sab unhīñ ke giit gaate haiñ
mohabbat ho agar sachchī to aise din bhī aate haiñ
vo apne nāz-bardāroñ ke ḳhud bhī naaz uThāte haiñ
ḳhabar us vaqt hotī hai vo jab nāvik lagāte haiñ
nishāna koī ho jis ko uḌānā huā uḌāte haiñ
mohabbat ke khilāḌī haar kar bhī jiit jaate haiñ
vo itnā jaan kar hī jaan kī baazī lagāte haiñ
jo us par mar-miTe un se hazāroñ faiz paate haiñ
unheñ murda na samjho vo to mardoñ ko jalāte haiñ
nazar hadd-e-ta'ayyun se jahāñ aage nahīñ baḌhtī
vahāñ kuchh husn ke be-qaid jalve muskurāte haiñ
hameñ vo bhuul jaa.eñ to gila kyā bhuul jaane kā
jab un kī yaad meñ apne ko ham ḳhud bhuul jaate haiñ
kafan meñ muñh chhupānā husn se ik chheḌ hai goyā
jo ham se muñh chhupāte the ham un se muñh chhupāte haiñ
ta'ajjub kyā agar be-nūr hoñ āñkheñ za’īfī meñ
sahar jab hone aatī hai sitāre jhilmilāte haiñ
ye mujh par tohmat-e-hastī nahīñ to aur phir kyā hai
haqīqat se jo kore haiñ vo be-par kī uḌāte haiñ
vujūd ġhair vahmī hī sahī mash.hūd ho kyuuñ kar
nazar ke zāviyoñ par tak to vo pahre biThāte haiñ
sharāb-e-'abadiyat har piine vaale ko nahīñ pachtī
ye vo mai hai ki jis ko zarf vaale hī pachāte haiñ
asar ho yā na ho nāloñ kā lekin ye bhī kyā kam hai
kisī 'unvāñ vo merā dard-e-dil kuchh sun to paate haiñ
kabhī kuchh is tarah āvāz aa jaatī hai kānoñ meñ
vo jaise paas hī maddham suroñ meñ gungunāte haiñ
sahārā mil gayā hai jab se un kī dast-gīrī kā
qadam dānista laġhzish se bhī aksar Dagmagāte haiñ
kahe detī haiñ nazreñ hāl-e-dil āñkhoñ hī āñkhoñ meñ
chhupā.ūñ laakh lekin dil ke goshe khul hī jaate haiñ
mire bas kī nahīñ tark-e-mohabbat kyā karūñ nāseh
maiñ jitnā bhūlnā chāhūñ vo utnā yaad aate haiñ
namak parvarda-e-husn-e-malīh-e-yār huuñ 'kāmil'
usī nisbat se dil ke zaḳhm saare muskurāte haiñ
wahi kuchh husn ke jalwon ka pura lutf pate hain
jo apne dil ko KHud ek mustaqil ka'ba banate hain
wo aate jate jab saz-e-nafas ko chheD jate hain
mere ajza-e-hasti sab unhin ke git gate hain
mohabbat ho agar sachchi to aise din bhi aate hain
wo apne naz-bardaron ke KHud bhi naz uThate hain
KHabar us waqt hoti hai wo jab nawik lagate hain
nishana koi ho jis ko uDana hua uDate hain
mohabbat ke khilaDi haar kar bhi jit jate hain
wo itna jaan kar hi jaan ki bazi lagate hain
jo us par mar-miTe un se hazaron faiz pate hain
unhen murda na samjho wo to mardon ko jalate hain
nazar hadd-e-ta'ayyun se jahan aage nahin baDhti
wahan kuchh husn ke be-qaid jalwe muskuraate hain
hamein wo bhul jaen to gila kya bhul jaane ka
jab un ki yaad mein apne ko hum KHud bhul jate hain
kafan mein munh chhupana husn se ek chheD hai goya
jo hum se munh chhupate the hum un se munh chhupate hain
ta'ajjub kya agar be-nur hon aankhen za’ifi mein
sahar jab hone aati hai sitare jhilmilate hain
ye mujh par tohmat-e-hasti nahin to aur phir kya hai
haqiqat se jo kore hain wo be-par ki uDate hain
wujud ghair wahmi hi sahi mashhud ho kyun kar
nazar ke zawiyon par tak to wo pahre biThate hain
sharab-e-'abadiyat har pine wale ko nahin pachti
ye wo mai hai ki jis ko zarf wale hi pachate hain
asar ho ya na ho nalon ka lekin ye bhi kya kam hai
kisi 'unwan wo mera dard-e-dil kuchh sun to pate hain
kabhi kuchh is tarah aawaz aa jati hai kanon mein
wo jaise pas hi maddham suron mein gungunate hain
sahaara mil gaya hai jab se un ki dast-giri ka
qadam danista laghzish se bhi aksar Dagmagate hain
kahe deti hain nazren haal-e-dil aankhon hi aankhon mein
chhupaun lakh lekin dil ke goshe khul hi jate hain
mere bas ki nahin tark-e-mohabbat kya karun naseh
main jitna bhulna chahun wo utna yaad aate hain
namak parwarda-e-husn-e-malih-e-yar hun 'kaamil'
usi nisbat se dil ke zaKHm sare muskuraate hain
- Book : Waardaat-e-Kamil (Pg. 127)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.