ye manta hun baat KHuda ki KHuda ke sath
ye māntā huuñ baat ḳhudā kī ḳhudā ke saath
lekin ḳhudā milā mujhe ġhausul-varā ke saath
jaade pe chal vafā ke kisī bā-vafā ke saath
manzil kī fikr hai to nikal rahnumā ke saath
us kā shumār kis meñ hai ḳhud jaan lījiye
jis ko koī lagāo nahīñ auliyā ke saath
aatī hai bū yahāñ mujhe pīroñ ke piir kī
baġhdād meñ huuñ aaj dakan kī fazā ke saath
dil-dādgān-e-sheva-taslīm kī qasam
'kāmil' bhī yaad aa.egā nām-e-vafā ke saath
ye manta hun baat KHuda ki KHuda ke sath
lekin KHuda mila mujhe ghausul-wara ke sath
jade pe chal wafa ke kisi ba-wafa ke sath
manzil ki fikr hai to nikal rahnuma ke sath
us ka shumar kis mein hai KHud jaan lijiye
jis ko koi lagao nahin auliya ke sath
aati hai bu yahan mujhe piron ke pir ki
baghdad mein hun aaj dakan ki faza ke sath
dil-dadgan-e-shewa-taslim ki qasam
'kaamil' bhi yaad aaega nam-e-wafa ke sath
- Book : Waardaat-e-Kamil (Pg. 155)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.