pas aate hain mere aur na bulate hain mujhe
paas aate haiñ mire aur na bulāte haiñ mujhe
ye bhī kyā kam hai ki vo yaad to aate haiñ mujhe
daa.im ābād rahe yuuñ hī bharī bazm un kī
ban ke ḳhud sham' jo parvāna banāte haiñ mujhe
husn-e-mahbūb-e-ḳhudā par jo nazar karatā huuñ
us kī qudrat ke tamāshe nazar aate haiñ mujhe
jaane kyā baat hai kyuuñ log maze lete haiñ
naam le kar tirā dīvāna banāte haiñ mujhe
sadqa-e-husn-e-nazar hai mirī hastī saarī
un ke qurbān jo āñkhoñ se pilāte haiñ mujhe
zindagānī hai dar-e-ġhaus ke TukḌoñ pe mirī
chhīn kyā leñge vo mujh se jo Darāte haiñ mujhe
merī kyā buud hai sab un kā vujūd un kī numūd
kaise nādāñ haiñ jo sāmne laate haiñ mujhe
jānte haiñ ki nahīñ un ke sivā merā koī
kuchh samajh kar hī vo dāman meñ chhupāte haiñ mujhe
sar ke bal jā۔ūñ agar par huuñ to uḌ kar pahuñchūñ
koī kah de jo mire piir bulāte haiñ mujhe
kahiye kis 'ḳhusrav'-e-ḳhūbāñ kī hai aamad 'kāmil'
rū-numā.ī meñ do-'ālam nazar aate haiñ mujhe
pas aate hain mere aur na bulate hain mujhe
ye bhi kya kam hai ki wo yaad to aate hain mujhe
daim aabaad rahe yun hi bhari bazm un ki
ban ke KHud sham' jo parwana banate hain mujhe
husn-e-mahbub-e-KHuda par jo nazar karata hun
us ki qudrat ke tamashe nazar aate hain mujhe
jaane kya baat hai kyun log maze lete hain
nam le kar tera diwana banate hain mujhe
sadqa-e-husn-e-nazar hai meri hasti sari
un ke qurban jo aankhon se pilate hain mujhe
zindagani hai dar-e-ghaus ke TukDon pe meri
chhin kya lenge wo mujh se jo Daraate hain mujhe
meri kya bud hai sab un ka wujud un ki numud
kaise nadan hain jo samne late hain mujhe
jaante hain ki nahin un ke siwa mera koi
kuchh samajh kar hi wo daman mein chhupate hain mujhe
sar ke bal ja۔un agar par hun to uD kar pahunchun
koi kah de jo mere pir bulate hain mujhe
kahiye kis 'KHusraw'-e-KHuban ki hai aamad 'kaamil'
ru-numai mein do-'alam nazar aate hain mujhe
- Book : Waardaat-e-Kamil (Pg. 191)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.