raaz-e-dil kisi unwan lab pe la nahin sakte
rāz-e-dil kisī 'unvāñ lab pe lā nahīñ sakte
aap ḳhud samajh liije ham batā nahīñ sakte
aag sī bhaḌaktī hai aur bujhā nahīñ sakte
dil ko rog ye kyā hai kuchh batā nahīñ sakte
jabr-o-zulm se dil tak baar pā nahīñ sakte
gardaneñ jhukā loge dil jhukā nahīñ sakte
kuchh to khul ke rone do kis liye hameñ chheḌā
jab kisī ke rone kī taab lā nahīñ sakte
hai hamārī nazroñ meñ zindagī gulistāñ kī
ab to un bahāroñ se dil lagā nahīñ sakte
dafn bhī vahīñ hoñge zindagī jahāñ kaaTī
mar ke bhī tire dar se ham to jā nahīñ sakte
vo qadam hī kyuuñ rakheñ manzil-e-mohabbat meñ
aap ke sitam jin ko raas aa nahīñ sakte
sāmne na ho jab tak ik tajalli-e-masjūd
ham kisī bhī qīmat par sar jhukā nahīñ sakte
saaz zindagī jab tak be sadā na ho 'kāmil'
un se haT ke ham koī giit gā nahīñ sakte
raaz-e-dil kisi 'unwan lab pe la nahin sakte
aap KHud samajh lije hum bata nahin sakte
aag si bhaDakti hai aur bujha nahin sakte
dil ko rog ye kya hai kuchh bata nahin sakte
jabr-o-zulm se dil tak bar pa nahin sakte
gardanen jhuka loge dil jhuka nahin sakte
kuchh to khul ke rone do kis liye hamein chheDa
jab kisi ke rone ki tab la nahin sakte
hai hamari nazron mein zindagi gulistan ki
ab to un bahaaron se dil laga nahin sakte
dafn bhi wahin honge zindagi jahan kaTi
mar ke bhi tere dar se hum to ja nahin sakte
wo qadam hi kyun rakhen manzil-e-mohabbat mein
aap ke sitam jin ko ras aa nahin sakte
samne na ho jab tak ek tajalli-e-masjud
hum kisi bhi qimat par sar jhuka nahin sakte
saz zindagi jab tak be sada na ho 'kaamil'
un se haT ke hum koi git ga nahin sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.