unhin ki marzi pe chal raha hun unhin ki marzi to chal rahi hai
unhin ki marzi pe chal raha hun unhin ki marzi to chal rahi hai
Kamil Shattari
MORE BYKamil Shattari
unhīñ kī marzī pe chal rahā huuñ unhīñ kī marzī to chal rahī hai
ye zindagī to faqat unhīñ kī ḳhushī ke sāñchoñ meñ Dhal rahī hai
na dam hī puurā nikal rahā hai na aarzū hī nikal rahī hai
na jaane kab se tirī tamannā hamārī godī meñ pal rahī hai
use to mahsūs kar sakegī faqat koī chashm-e-bāda-kash hī
kisī kī āñkhoñ se kyā batā.ūñ sharāb kitnī ubal rahī hai
unhīñ kī chashm-e-karam kā sadqa unhīñ ke ye dam-qadam kā sadqa
unhīñ se nisbat kī aaḌe lekar hamārī har baat chal rahī hai
qafas se āzād hone vaale nigāh-e-taqayyud khone vaale
mubārak ab zindagī kī sūrat kuchh aur 'unvān badal rahī hai
bilā-ta'ayyun jahāñ hoñ jalve vahāñ tire kyā paḌegā palle
nazar hadd-e-e.atibār se kyuuñ qadam baḌhā kar nikal rahī hai
vo e'tibār-e-nazar se ūñche ho fikr-o-faham bashar se ūñche
maiñ jitnī qurbat baḌhā rahā huuñ vo dūriyoñ se badal rahī hai
rahe salāmat vo aane vaalā marīz ġham ne liyā sambhālā
zarā zarā hosh aa rahā hai zarā tabī'at sambhal rahī hai
lagā jahāñ dil pe daaġh 'kāmil' charāġh raushan murād hāsil
hamārī marqad pe aa ke dekho yahī to ik sham' jal rahī hai
unhin ki marzi pe chal raha hun unhin ki marzi to chal rahi hai
ye zindagi to faqat unhin ki KHushi ke sanchon mein Dhal rahi hai
na dam hi pura nikal raha hai na aarzu hi nikal rahi hai
na jaane kab se teri tamanna hamari godi mein pal rahi hai
use to mahsus kar sakegi faqat koi chashm-e-baada-kash hi
kisi ki aankhon se kya bataun sharab kitni ubal rahi hai
unhin ki chashm-e-karam ka sadqa unhin ke ye dam-qadam ka sadqa
unhin se nisbat ki aaDe lekar hamari har baat chal rahi hai
qafas se aazad hone wale nigah-e-taqayyud khone wale
mubarak ab zindagi ki surat kuchh aur 'unwan badal rahi hai
bila-ta'ayyun jahan hon jalwe wahan tere kya paDega palle
nazar hadd-e-eatibar se kyun qadam baDha kar nikal rahi hai
wo e'tibar-e-nazar se unche ho fikr-o-faham bashar se unche
main jitni qurbat baDha raha hun wo duriyon se badal rahi hai
rahe salamat wo aane wala mariz gham ne liya sambhaala
zara zara hosh aa raha hai zara tabi'at sambhal rahi hai
laga jahan dil pe dagh 'kaamil' charagh raushan murad hasil
hamari marqad pe aa ke dekho yahi to ek sham' jal rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.