ishq ki barbaadiyon ki phir nai tamhid hai
'ishq kī barbādiyoñ kī phir na.ī tamhīd hai
zaḳhm-e-dil taaza hue haiñ mere ghar meñ 'iid hai
duur haiñ qadmoñ se tere tere qadmoñ kī qasam
be-kasoñ kī 'iid bhī kis be-kasī kī 'iid hai
DhūñDhtā phirtā hai tujh ko chāhne vaalā tirā
banda-parvar kyā usī kā naam roz-e-'īd hai
terī sūrat ke liye āñkheñ taras kar rah ga.iiñ
mere ghar mātam bapā hai sab ke ghar meñ 'iid hai
vo bhī din the ham tire hamrāz the dam-sāz the
ek vo bhī 'iid thī aur ek ye bhī 'iid hai
haq to ye hai mere haq meñ 'iid kā chāñd aap haiñ
jis kisī din aap aa.eñ bas usī din 'iid hai
muskurā kar tum ne dekhā dil uchhalne lag gayā
muḳhtasar sī zindagī hai muḳhtasar sī 'iid hai
ai mah-e-shavval kah abru-e-jānāñ kī qasam
vo hilāl-e’-īd haiñ yā tū hilāl-e-’īd hai
kaun manzūr-e-nazar Thahrā hai 'kāmil' kyā ḳhabar
yaar kī chashm-e-karam jis par hai us kī 'iid hai
'ishq ki barbaadiyon ki phir nai tamhid hai
zaKHm-e-dil taza hue hain mere ghar mein 'id hai
dur hain qadmon se tere tere qadmon ki qasam
be-kason ki 'id bhi kis be-kasi ki 'id hai
DhunDhta phirta hai tujh ko chahne wala tera
banda-parwar kya usi ka nam roz-e-'id hai
teri surat ke liye aankhen taras kar rah gain
mere ghar matam bapa hai sab ke ghar mein 'id hai
wo bhi din the hum tere hamraaz the dam-saz the
ek wo bhi 'id thi aur ek ye bhi 'id hai
haq to ye hai mere haq mein 'id ka chand aap hain
jis kisi din aap aaen bas usi din 'id hai
muskura kar tum ne dekha dil uchhalne lag gaya
muKHtasar si zindagi hai muKHtasar si 'id hai
ai mah-e-shawwal kah abru-e-jaanan ki qasam
wo hilal-e’-id hain ya tu hilal-e-’id hai
kaun manzur-e-nazar Thahra hai 'kaamil' kya KHabar
yar ki chashm-e-karam jis par hai us ki 'id hai
- Book : Waardaat-e-Kamil (Pg. 212)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.