junun mein jo kuchh main kah raha hun maqam-e-hairat ki guftugu hai
junun mein jo kuchh main kah raha hun maqam-e-hairat ki guftugu hai
Kamil Shattari
MORE BYKamil Shattari
junūñ meñ jo kuchh maiñ kah rahā huuñ maqam-e-hairat kī guftugū hai
ḳhabar nahīñ kis ko dekhtā huuñ pata nahīñ kaun rū-ba-rū hai
ye ḳhud bhī ik tafarqe hai kahnā jo tū hai maiñ huuñ jo maiñ huuñ tū hai
tire sivā dūsrā nahīñ hai ki tū hī ḳhud tere rū-ba-rū hai
khulī jo mujh par mirī haqīqat to sab izāfī thī merī nisbat
jab un nigāhoñ se dekhtā huuñ kahāñ kā maiñ sirf tū hī tū hai
chaman kī saarī bahār tujh se guloñ kā saarā nikhār tujh se
tirī adāoñ kī fitna-parvar kisī meñ ḳhū hai kisī meñ bū hai
kisī ne dāman meñ le liye haiñ Dhale hue āñso.oñ ke motī
jo merī āñkhoñ se gir chuke haiñ abhī tak un kī ye aabrū hai
zamāna karvaT badal rahā hai na.ī-na.ī chaal chal rahā hai
sahar na ho jaaye zindagī kī agar yahī shām-e-ārzū hai
vo baḳhsh de mujh ko yā na baḳhshe maiñ us kā banda vo merā maulā
maiñ is masarrat se mutma.in huuñ ki us se ik roz dū-ba-dū hai
hamārā jī bār-bār tum par darūd paḌhne ko chāhtā hai
ki ruḳh jo vashshams hū-bahū hai to zulf vallail mū-ba-mū hai
tumhāre hāthoñ pe bik chuke haiñ tumhārī chaukhaT pe Tik chuke haiñ
tumhārī nisbat se hai ye sāhib hamārī jo kuchh bhī aabrū hai
bitā.ūñ kyā hai ye kyā tamāshā firāq kaisā visāl kis kā
jo saath har-dam hai mere 'kāmil' usī se milne kī aarzū hai
junun mein jo kuchh main kah raha hun maqam-e-hairat ki guftugu hai
KHabar nahin kis ko dekhta hun pata nahin kaun ru-ba-ru hai
ye KHud bhi ek tafarqe hai kahna jo tu hai main hun jo main hun tu hai
tere siwa dusra nahin hai ki tu hi KHud tere ru-ba-ru hai
khuli jo mujh par meri haqiqat to sab izafi thi meri nisbat
jab un nigahon se dekhta hun kahan ka main sirf tu hi tu hai
chaman ki sari bahaar tujh se gulon ka sara nikhaar tujh se
teri adaon ki fitna-parwar kisi mein KHu hai kisi mein bu hai
kisi ne daman mein le liye hain Dhale hue aansoon ke moti
jo meri aankhon se gir chuke hain abhi tak un ki ye aabru hai
zamana karwaT badal raha hai nai-nai chaal chal raha hai
sahar na ho jaye zindagi ki agar yahi sham-e-arzu hai
wo baKHsh de mujh ko ya na baKHshe main us ka banda wo mera maula
main is masarrat se mutmain hun ki us se ek roz du-ba-du hai
hamara ji bar-bar tum par darud paDhne ko chahta hai
ki ruKH jo washshams hu-bahu hai to zulf wallail mu-ba-mu hai
tumhaare hathon pe bik chuke hain tumhaari chaukhaT pe Tik chuke hain
tumhaari nisbat se hai ye sahib hamari jo kuchh bhi aabru hai
bitaun kya hai ye kya tamasha firaq kaisa visal kis ka
jo sath har-dam hai mere 'kaamil' usi se milne ki aarzu hai
- Book : Waardaat-e-Kamil (Pg. 229)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.