yaad hai shewa-e-ishq-e-sitam-ijad mujhe
yaad hai sheva-e-'ishq-e-sitam-ījād mujhe
aap yaad aa.e to phir kuchh na rahā yaad mujhe
rah ga.ī sirf yahī ek du'ā yaad mujhe
vo salāmat rahe jis ne kiyā barbād mujhe
iltifāt-e-nigah-e-yār to yuuñ bhī Thahrā
hai baharhāl karam hāsil-e-bedād mujhe
rāt-din ek nayā khel nazar aatā hai
cinema ghar hai ye sab 'ālam ījād mujhe
ek majbūr mohabbat kī zabāñ kyā khultī
sharm rakh lī jo na dī ruḳhsat-e-fariyād mujhe
yaad aa aa ke satāne se bhalā kyā hāsil
kyā ye mumkin nahīñ farmā.eñ kabhī yaad mujhe
mere sayyād ne rakhā hai asīr-e-ehsāñ
aur pāband kiyā chhoḌ ke āzād mujhe
chāñd vo chāñd ki jis chāñd se qismat chamke
'iid isī din mirī jis din vo kareñ yaad mujhe
naaz hai jis kī ġhulāmī pe azal se 'kāmil'
vo to hone nahīñ degā kabhī barbād mujhe
yaad hai shewa-e-'ishq-e-sitam-ijad mujhe
aap yaad aae to phir kuchh na raha yaad mujhe
rah gai sirf yahi ek du'a yaad mujhe
wo salamat rahe jis ne kiya barbaad mujhe
iltifat-e-nigah-e-yar to yun bhi Thahra
hai baharhaal karam hasil-e-bedad mujhe
raat-din ek naya khel nazar aata hai
cinema ghar hai ye sab 'alam ijad mujhe
ek majbur mohabbat ki zaban kya khulti
sharm rakh li jo na di ruKHsat-e-fariyaad mujhe
yaad aa aa ke satane se bhala kya hasil
kya ye mumkin nahin farmaen kabhi yaad mujhe
mere sayyaad ne rakha hai asir-e-ehsan
aur paband kiya chhoD ke aazad mujhe
chand wo chand ki jis chand se qismat chamke
'id isi din meri jis din wo karen yaad mujhe
naz hai jis ki ghulami pe azal se 'kaamil'
wo to hone nahin dega kabhi barbaad mujhe
- Book : Waardaat-e-Kamil (Pg. 230)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.