dam mein jab tak dam rahe
dam meñ jab tak dam rahe
zindagī jaisī bhī ho jo kuchh rahe
dam bhare jā.eñge terā
dam meñ jab tak dam rahe
dāġh-e-dil zaḳhm-e-jigar se aur kuchh matlab nahīñ
baat sirf itnī hai koī yādgār-e-ġham rahe
kis ne mahsūsāt kī duniyā ko baḳhshī āgahī
chāhne vāloñ meñ pahle tum rahe yā ham rahe
dīda-e-tar ik ’alāmat hai hayāt-e-'ishq kī
dil meñ ḳhud dhaḌkan rahegī chashm jab tak nam rahe
us hasīñ uljhan se sau sau husn paidā kyuuñ na ho
zulf kī har barhamī par jab koī braham rahe
ban ga.ī ḳhud āfat-e-jāñ apnī gūunā-gūiyā
'ishq ho yā husn har parde ke pīchhe ham rahe
merī pahlī parvarish taqdīs kī āġhosh meñ
qudsiyoñ ke sar bhī 'kāmil' mere aage ḳham rahe
dam mein jab tak dam rahe
zindagi jaisi bhi ho jo kuchh rahe
dam bhare jaenge tera
dam mein jab tak dam rahe
dagh-e-dil zaKHm-e-jigar se aur kuchh matlab nahin
baat sirf itni hai koi yaadgar-e-gham rahe
kis ne mahsusat ki duniya ko baKHshi aagahi
chahne walon mein pahle tum rahe ya hum rahe
dida-e-tar ek ’alamat hai hayat-e-'ishq ki
dil mein KHud dhaDkan rahegi chashm jab tak nam rahe
us hasin uljhan se sau sau husn paida kyun na ho
zulf ki har barhami par jab koi braham rahe
ban gai KHud aafat-e-jaan apni guuna-guiya
'ishq ho ya husn har parde ke pichhe hum rahe
meri pahli parwarish taqdis ki aaghosh mein
qudsiyon ke sar bhi 'kaamil' mere aage KHam rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.