mujhe de rahe hain taskin wo mazaq-e-gham badal kar
mujhe de rahe haiñ taskīñ vo mazāq-e-ġham badal kar
nikal aa.ī dil kī hasrat mere āñsuoñ meñ Dhal kar
adab ai junūn-e-ulfat ye maqām-e-bandagī hai
tirā jo qadam bhī uThe vo uThe zarā sambhal kar
ye banī ajiib kuchh shai mere ishq kī badaulat
tire husn kī ḳhudā.ī mirī bandagī meñ Dhal kar
faqat ārzū-e-dil par hai madār-e-zindagānī
mujhe be-mazā na kar de koī aarzū nikal kar
dayār se uThā huuñ na uThūñgā tā-qiyāmat
ki yahīñ sukūñ milā hai mere dil ko ab to chal kar
kabhī kuchh nazar hai un kī kabhī kuchh nazar hai in kī
vo pilā.e jā rahe haiñ mujhe mai badal badal kar
rahūñ be-niyāz maqsad tirī banda-parvarī se
kahīñ lab tak aa na jaaye koī mudda.ā machal kar
koī ham se baḌh ke saaqī nahīñ mustahiq karam kā
ki mile haiñ mai-kashoñ meñ tire mai-kade meñ pal kar
vo ġhurūr-e-husn-e-kHud-sar-o-sar-e-niyāz 'kāmil'
koī muskurā rahā hai mirī zindagī badal kar
mujhe de rahe hain taskin wo mazaq-e-gham badal kar
nikal aai dil ki hasrat mere aansuon mein Dhal kar
adab ai junun-e-ulfat ye maqam-e-bandagi hai
tera jo qadam bhi uThe wo uThe zara sambhal kar
ye bani ajib kuchh shai mere ishq ki badaulat
tere husn ki KHudai meri bandagi mein Dhal kar
faqat aarzu-e-dil par hai madar-e-zindagani
mujhe be-maza na kar de koi aarzu nikal kar
dayar se uTha hun na uThunga ta-qiyamat
ki yahin sukun mila hai mere dil ko ab to chal kar
kabhi kuchh nazar hai un ki kabhi kuchh nazar hai in ki
wo pilae ja rahe hain mujhe mai badal badal kar
rahun be-niyaz maqsad teri banda-parwari se
kahin lab tak aa na jaye koi muddaa machal kar
koi hum se baDh ke saqi nahin mustahiq karam ka
ki mile hain mai-kashon mein tere mai-kade mein pal kar
wo ghurur-e-husn-e-kHud-sar-o-sar-e-niyaz 'kaamil'
koi muskura raha hai meri zindagi badal kar
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 206)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.