sab ka marja ban gaya hai sab ko Thukrane ke baad
sab kā marja' ban gayā hai sab ko Thukrāne ke ba.ad
zindagī paa.ī kisī ne tum pe mar jaane ke ba.ad
khul ga.iiñ āñkheñ magar hāthoñ se dil jaane ke ba.ad
inqalāb aayā sambhālā Thokareñ khāne ke ba.ad
kyā sambhālā gar sambhālā Thokareñ khāne ke ba.ad
laaj rakho apnā dīvāna banā jaane ke ba.ad
pī rahā huuñ aap kī āñkhoñ meñ āñkheñ Daal kar
jām-e-mai kī kyā zarūrat aise paimāne ke ba.ad
kis tarah bāvar karā.eñ apne dil kā iztirāb
kaash un ko e'tibār aatā qasam khāne ke ba.ad
jitne muñh utnī bāteñ ishq sab meñ mushtarak
ik haqīqat sāmne aa.ī har afsāne ke ba.ad
aql kī had se pare manzil hai husn-o-ishq kī
hosh kab rahte haiñ baaqī ye maqām aane ke ba.ad
milne lagte haiñ gadā.ī meñ bhī shāhī ke maze
haañ magar nisbat kisī se Thiik ho jaane ke ba.ad
bandagī kī haaye vo kāfir-javāñ añgḌā.iyāñ
zindagī dar se kisī ke raushnī paane ke ba.ad
apne majbūr mohabbat kā tamāsha dekhiye
saañs tak letā hai manshā aap kā paane ke ba.ad
ham tire iqbāl se chalte haiñ siina taan kar
naaz ho jaatā hai paidā tere kahlāne ke ba.ad
daf.atan hī paañv ruk jaate haiñ 'kāmil' ḳhud-baḳhud
baḌh nahīñ sakte ham aage kū-e-yār aane ke ba.ad
sab ka marja' ban gaya hai sab ko Thukrane ke baad
zindagi pai kisi ne tum pe mar jaane ke baad
khul gain aankhen magar hathon se dil jaane ke baad
inqalab aaya sambhaala Thokaren khane ke baad
kya sambhaala gar sambhaala Thokaren khane ke baad
laj rakho apna diwana bana jaane ke baad
pi raha hun aap ki aankhon mein aankhen Dal kar
jam-e-mai ki kya zarurat aise paimane ke baad
kis tarah bawar karaen apne dil ka iztirab
kash un ko e'tibar aata qasam khane ke baad
jitne munh utni baaten ishq sab mein mushtarak
ek haqiqat samne aai har afsane ke baad
aql ki had se pare manzil hai husn-o-ishq ki
hosh kab rahte hain baqi ye maqam aane ke baad
milne lagte hain gadai mein bhi shahi ke maze
han magar nisbat kisi se Thik ho jaane ke baad
bandagi ki haye wo kafir-jawan angDaiyan
zindagi dar se kisi ke raushni pane ke baad
apne majbur mohabbat ka tamasha dekhiye
sans tak leta hai mansha aap ka pane ke baad
hum tere iqbaal se chalte hain sina tan kar
naz ho jata hai paida tere kahlane ke baad
dafatan hi panw ruk jate hain 'kaamil' KHud-baKHud
baDh nahin sakte hum aage ku-e-yar aane ke baad
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 208)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.