tum hi to wajh-e-zindagi tum hi to maqsad-e-hayat
tum hī to vaj.h-e-zindagī tum hī to maqsad-e-hayāt
jān-e-jahān-e-ārzū rūh-e-ravān-e-kā.enāt
bhuul bhī jā.iye kahīñ saarī izāfatoñ kī baat
vahm-e-dui bhī kufr hai ek vajūd ek zaat
partav-e-husn-e-yār huuñ zaat jahāñ sifat vahāñ
jaane kahāñ kahāñ mujhe DhūñDh rahī hai kā.enāt
kyā kahūñ kitnī shoḳh thī un kī adā-e-jalva bhī
ek jhalak meñ uḌ gayā rañg-e-ruḳh-e-ta.ayyunāt
haaye vo zulf-e-ambarīñ aur vo chashm-e-surmagīñ
aaj tak us kī yaad meñ jhuum rahī hai kā.enāt
nāz-o-ġhurūr-e-husn udhar aur sar-e-niyāz idhar
kaash mile nasīb se phir koī aisī ek rut
ishq meñ jān-o-dil hī kyā diin gayā dharm gayā
ek nigāh-e-nāz meñ luT ga.ī saarī kā.enāt
kis ke liye jahāñ meñ itnā sab ehtimām hai
kis kī taraf mushīr haiñ saare mazāhir-e-sifāt
'kāmil’-e-kHasta-hāl par tum ne jo muskurā diyā
ik dil-e-mustamand ko bañdh ga.iiñ kuchh tavaqquāt
tum hi to wajh-e-zindagi tum hi to maqsad-e-hayat
jaan-e-jahan-e-arzu ruh-e-rawan-e-kaenat
bhul bhi jaiye kahin sari izafaton ki baat
wahm-e-dui bhi kufr hai ek wajud ek zat
partaw-e-husn-e-yar hun zat jahan sifat wahan
jaane kahan kahan mujhe DhunDh rahi hai kaenat
kya kahun kitni shoKH thi un ki ada-e-jalwa bhi
ek jhalak mein uD gaya rang-e-ruKH-e-tayyunat
haye wo zulf-e-ambarin aur wo chashm-e-surmagin
aaj tak us ki yaad mein jhum rahi hai kaenat
naz-o-ghurur-e-husn udhar aur sar-e-niyaz idhar
kash mile nasib se phir koi aisi ek rut
ishq mein jaan-o-dil hi kya din gaya dharm gaya
ek nigah-e-naz mein luT gai sari kaenat
kis ke liye jahan mein itna sab ehtimam hai
kis ki taraf mushir hain sare mazahir-e-sifat
'kaamil’-e-kHasta-haal par tum ne jo muskura diya
ek dil-e-mustamand ko bandh gain kuchh tawaqquat
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 211)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.