Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

wufur-e-shauq-e-muztar hai ki un ko haye kya kahiye

Kashish Phulwarwi

wufur-e-shauq-e-muztar hai ki un ko haye kya kahiye

Kashish Phulwarwi

MORE BYKashish Phulwarwi

    vufūr-e-shauq-e-muztar hai ki un ko haaye kyā kahiye

    nabī kahiye malak kahiye bashar kahiye ḳhudā kahiye

    agar us bārgāh-e-pāk meñ terā guzar hove

    to misl-e-tazkira itnā to ai bād-e-sabā kahiye

    ki vo badnām jis se nañg hai islām ko shāhā

    vo momin jis īmāñ bā'is-e-sharm-o-hayā kahiye

    vo 'aasī jis ke 'isyāñ nahīñ hai koī had baaqī

    vo fāsiq fisq jis ke na koī intihā kahiye

    ye kahtā thā ki huuñ maiñ bhī to āḳhir sag usī dar

    zabān-e-pāk se apne kisī din bhī to aa kahiye

    burā huuñ bhalā phir aap kahlātā huuñ shāhā

    sivā.e aap ke kis hai mujh ko aasrā kahiye

    wufur-e-shauq-e-muztar hai ki un ko haye kya kahiye

    nabi kahiye malak kahiye bashar kahiye KHuda kahiye

    agar us bargah-e-pak mein tera guzar howe

    to misl-e-tazkira itna to ai baad-e-saba kahiye

    ki wo badnam jis se nang hai islam ko shaha

    wo momin jis ka iman ba'is-e-sharm-o-haya kahiye

    wo 'asi jis ke 'isyan ki nahin hai koi had baqi

    wo fasiq fisq ki jis ke na koi intiha kahiye

    ye kahta tha ki hun main bhi to aaKHir sag usi dar ka

    zaban-e-pak se apne kisi din bhi to aa kahiye

    bura hun ya bhala phir aap ka kahlata hun shaha

    siwae aap ke kis ka hai mujh ko aasra kahiye

    Source :
    • Book : Al-Mujeeb, Phulwari Sharif (Pg. 108)

    This content features in following collection(s)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now