kasrat-e-husn mein bhi aalam-e-tanhai hai
kasrat-e-husn meñ bhī a.alam-e-tanhā.ī hai
saikḌoñ jalve haiñ har jalve meñ yaktā.ī hai
be-hijābī nigah-e-shauq kī rusvā.ī hai
jab hijābāt meñ bhī chashm-e-tamāshā.ī hai
ai junūñ kaun sā a.alam hai ye allāh allāh
ishq maġhrūr hai aur husn tamannā.ī hai
shart hai vāqif-e-ādāb-e-tamāsha honā
varna har jalva yahāñ jalva-e-sīnā.ī hai
saiqal-e-sajda se ā.īna hai sañg-e-dar-e-yār
apnī sūrat nazar us ā.īne meñ aa.ī hai
qissa-e-sarmad-o-mansūr kā hāsil hai yahī
ki ḳhatā ishq meñ kHāmoshī-o-goyā.ī hai
ai 'zahīn' ab na vo sozish na tapish hai na ḳhalish
dil-e-afsurda charāġh-e-shab-e-tanhā.ī hai
kasrat-e-husn mein bhi aalam-e-tanhai hai
saikDon jalwe hain har jalwe mein yaktai hai
be-hijabi nigah-e-shauq ki ruswai hai
jab hijabaat mein bhi chashm-e-tamashai hai
ai junun kaun sa aalam hai ye allah allah
ishq maghrur hai aur husn tamannai hai
shart hai waqif-e-adab-e-tamasha hona
warna har jalwa yahan jalwa-e-sinai hai
saiqal-e-sajda se aaina hai sang-e-dar-e-yar
apni surat nazar us aaine mein aai hai
qissa-e-sarmad-o-mansur ka hasil hai yahi
ki KHata ishq mein kHamoshi-o-goyai hai
ai 'zahin' ab na wo sozish na tapish hai na KHalish
dil-e-afsurda charagh-e-shab-e-tanhai hai
- Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 425)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.