kaun sa ghar hai ki ai jaan nahin kashana tera aur jalwa-KHana tera
kaun sa ghar hai ki ai jaan nahin kashana tera aur jalwa-KHana tera
Bedam Shah Warsi
MORE BYBedam Shah Warsi
kaun sā ghar hai ki ai jaañ nahīñ kāshāna tirā aur jalva-ḳhana tirā
mai-kada terā hai ka.aba tirā but-ḳhāna tirā sab hai jānāna tirā
tū kisī shakl meñ ho maiñ tirā shaidā.ī huuñ terā saudā.ī huuñ
tū agar sham.a hai ai dost maiñ parvāna tirā ya.anī dīvāna tirā
mujh ko bhī jaam koī pīr-e-ḳharābāt mile terī ḳhairāt mile
tā-qayāmat yūñhī jaarī rahe paimāna tirā rahe mai-ḳhāna tirā
tere darvāze pe hāzir hai tire dar kā faqīr ai amīroñ ke amiir
mujh pe bhī ho kabhī altāf-e-karīmāna tirā lutf-e-shāhāna tirā
sadqa mai-ḳhāne kā saaqī mujhe be-hoshī de ḳhud-farāmoshī de
yuuñ to sab kahte haiñ 'bedam' tirā mastāna tirā ab huuñ dīvāna tirā
kaun sa ghar hai ki ai jaan nahin kashana tera aur jalwa-KHana tera
mai-kada tera hai kaba tera but-KHana tera sab hai jaanana tera
tu kisi shakl mein ho main tera shaidai hun tera saudai hun
tu agar shama hai ai dost main parwana tera yani diwana tera
mujh ko bhi jam koi pir-e-KHarabaat mile teri KHairaat mile
ta-qayamat yunhi jari rahe paimana tera rahe mai-KHana tera
tere darwaze pe hazir hai tere dar ka faqir ai amiron ke amir
mujh pe bhi ho kabhi altaf-e-karimana tera lutf-e-shahana tera
sadqa mai-KHane ka saqi mujhe be-hoshi de KHud-faramoshi de
yun to sab kahte hain 'bedam' tera mastana tera ab hun diwana tera
- Book : Nurul-Ain: Mosahhaf-e-Bedam (Pg. 115)
- Author : Bedam Shah Warsi
- Publication : Shaikh Ata Mohammad, Lahore (1935)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.