kaun sa gul hai nahin jo zeb-e-daman-e-bahaar
kaun sā gul hai nahīñ jo zeb-e-dāmān-e-bahār
kaun sā ġhuncha nahīñ gū-e-girebān-e-bahār
kis qadar raushan hai pahlū se shabistān-e-bahār
shāḳh har gulban kī hai sarv-e-charāġhan-e-bahār
qāzī-o-muftī-o-zāhid sab gharoñ meñ chhup rahe
ek dīvāna hai terā mard-e-maidān-e-bahār
nashshe ke Dore jo haiñ ai mast āñkhoñ meñ tirī
hai bajā un ko agar kahiye rag-e-jān-e-bahār
donoñ ’āshiq haiñ magar hai ishq meñ albatta farq
maiñ nisār-e-husn huuñ bulbul hai qurbān-e-bahār
tāzgī har ruḳh pe hai jaatī rahī afsurdagī
patte patte buuTe buuTe par hai ehsān-e-bahār
mai-faroshoñ se kaho khīñcheñ vo añgūrī sharāb
koñpleñ phūTīñ huā gulshan meñ sāmān-e-bahār
bāġhbāñ kāñToñ ko sikhlā rakh ki hañgām-e-ḳhizāñ
kuuch meñ Dāleñ ḳhalal uljhāyeñ dāmān-e-bahār
kyuuñ na kahte shaah patte taaj haiñ shāḳheñ haiñ taḳht
hai nagīñ laala to nā-farmāñ hai farmān-e-bahār
barg-e-gul se qatra-e-shabnam girātī hai sabā
kyuuñ na luuTe dil jo dekhe durr-e-ġhaltān-e-bahār
josh-e-gul se hai ye arzāñ nirḳh-e-bāzār ai 'amīr'
kauḌī kauḌī bik rahe haiñ māh-e-kan'ān-e-bahār
kaun sa gul hai nahin jo zeb-e-daman-e-bahaar
kaun sa ghuncha nahin gu-e-gireban-e-bahaar
kis qadar raushan hai pahlu se shabistan-e-bahaar
shaKH har gulban ki hai sarw-e-charaghan-e-bahaar
qazi-o-mufti-o-zahid sab gharon mein chhup rahe
ek diwana hai tera mard-e-maidan-e-bahaar
nashshe ke Dore jo hain ai mast aankhon mein teri
hai baja un ko agar kahiye rag-e-jaan-e-bahaar
donon ’ashiq hain magar hai ishq mein albatta farq
main nisar-e-husn hun bulbul hai qurban-e-bahaar
tazgi har ruKH pe hai jati rahi afsurdagi
patte patte buTe buTe par hai ehsan-e-bahaar
mai-faroshon se kaho khinchen wo anguri sharab
konplen phuTin hua gulshan mein saman-e-bahaar
baghban kanTon ko sikhla rakh ki hangam-e-KHizan
kuch mein Dalen KHalal uljhayen daman-e-bahaar
kyun na kahte shah patte taj hain shaKHen hain taKHt
hai nagin lala to na-farman hai farman-e-bahaar
barg-e-gul se qatra-e-shabnam giraati hai saba
kyun na luTe dil jo dekhe durr-e-ghaltan-e-bahaar
josh-e-gul se hai ye arzan nirKH-e-bazar ai 'amir'
kauDi kauDi bik rahe hain mah-e-kan'an-e-bahaar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.