na hikayat-e-gham-e-ishq hai na hadis-e-saghar-o-jam hai
na hikāyat-e-ġham-e-'ishq hai na hadīs-e-sāġhar-o-jām hai
tirā mai-kada hai vo mai-kada jahāñ lafz-e-hosh harām hai
mujhe itnā saaqī batā zarā ki halāl hai yā harām hai
mire haath meñ tirā jaam hai mire lab pe terā hī naam hai
na asīr-e-qaid-e-sujūd meñ na rahīn-e-jaur-e-vujūd meñ
ki ye āshiqoñ kī namāz hai na sujūd hai na qiyām hai
tirī bārgāh kī baat hai tirī bārgāh kā zikr kyā
jo imaam hai vo hai muqtadī jo hai muqtadī vo imaam hai
vo hujūm-e-māh-o-shāñ baḌhā ye hujūm-e-soḳhta-jāñ jilā
kahīñ 'ishq sirf vajūd hai kahīñ husn mahv-e-ḳhirām hai
tirī bazm-e-nāz kī gard hai ye tamām vaq'at-e-zindagī
yahāñ zikr shān-e-ayāz kyā yahāñ ġhaznavī bhī ġhulām hai
jo nigāh-e-dost na chhū sake vo nazar to koī nazar nahīñ
jo nigāh-e-dost na chhū sake vo nazar junūñ pe harām hai
tū jahāñ-jahāñ bhī hai jalva-gar hai vahīñ-vahīñ pe mirī nazar
tire husn kī haiñ vo rif’ateñ mire 'ishq kā ye maqām hai
inhī sub.h-o-shām ke faiz se mujhe daulat-e-ġham-e-dil milī
tirī zulf-e-ruḳh bhī 'ajībn hai kabhī sub.h hai kabhī shaam hai
nahīñ taab kausar-e-’ārfī’ koī sāġhar-e-mai-e-kausarī
ye dayār lāla-ruḳhāñ nahīñ ye qalandaroñ kā maqām hai
na hikayat-e-gham-e-'ishq hai na hadis-e-saghar-o-jam hai
tera mai-kada hai wo mai-kada jahan lafz-e-hosh haram hai
mujhe itna saqi bata zara ki halal hai ya haram hai
mere hath mein tera jam hai mere lab pe tera hi nam hai
na asir-e-qaid-e-sujud mein na rahin-e-jaur-e-wujud mein
ki ye aashiqon ki namaz hai na sujud hai na qiyam hai
teri bargah ki baat hai teri bargah ka zikr kya
jo imam hai wo hai muqtadi jo hai muqtadi wo imam hai
wo hujum-e-mah-o-shan baDha ye hujum-e-soKHta-jaan jila
kahin 'ishq sirf wajud hai kahin husn mahw-e-KHiram hai
teri bazm-e-naz ki gard hai ye tamam waq'at-e-zindagi
yahan zikr shan-e-ayaz kya yahan ghaznawi bhi ghulam hai
jo nigah-e-dost na chhu sake wo nazar to koi nazar nahin
jo nigah-e-dost na chhu sake wo nazar junun pe haram hai
tu jahan-jahan bhi hai jalwa-gar hai wahin-wahin pe meri nazar
tere husn ki hain wo rif’aten mere 'ishq ka ye maqam hai
inhi subh-o-sham ke faiz se mujhe daulat-e-gham-e-dil mili
teri zulf-e-ruKH bhi 'ajibn hai kabhi subh hai kabhi sham hai
nahin tab kausar-e-’arfi’ koi saghar-e-mai-e-kausari
ye dayar lala-ruKHan nahin ye qalandaron ka maqam hai
- Book : Kalaam-e-Manzoor Aarfi (Pg. 124)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.