chaunk uTha ghabra ke zamana dhum machai logon ne
chauñk uThā ghabrā ke zamāna dhuum machā.ī logoñ ne
jab bhī merī sūrat se tasvīr milā.ī logoñ ne
koī na samjhā dard ko mere merī kisī ne baat na kī
merī kahānī apnī kah kar bas dohrā.ī logoñ ne
'ishq ko bhī mujrim gardānā husn ko bhī badnām kiyā
aag lagāne ko to yuuñ bhī aag lagā.ī logoñ ne
kyā kyā mujh par zulm na Dhaa.e kyā kyā mujh ko ġham na diye
dekh ke un kī mahfil-e-dil tak apnī rasā.ī logoñ ne
'ishq meñ jo manzil miltī hai yuuñ hī nahīñ miltī 'kausar'
barsoñ vīrānoñ ke saroñ par ḳhaak uḌaa.ī logoñ ne
chaunk uTha ghabra ke zamana dhum machai logon ne
jab bhi meri surat se taswir milai logon ne
koi na samjha dard ko mere meri kisi ne baat na ki
meri kahani apni kah kar bas dohrai logon ne
'ishq ko bhi mujrim gardana husn ko bhi badnam kiya
aag lagane ko to yun bhi aag lagai logon ne
kya kya mujh par zulm na Dhae kya kya mujh ko gham na diye
dekh ke un ki mahfil-e-dil tak apni rasai logon ne
'ishq mein jo manzil milti hai yun hi nahin milti 'kausar'
barson viranon ke saron par KHak uDai logon ne
- Book : Kalaam-e-Manzoor Aarfi (Pg. 124)
- Book : Kalaam-e-Manzoor Aarfi (Pg. 124)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.