junun mein sath hamara diya diya na diya
junūñ meñ saath hamārā diyā diyā na diyā
kuchh e'tibār kisī ne kiyā kiyā na kiyā
rahā huuñ majlis-e-sāqī meñ jaam kā kyā hai
milā milā na milā phir piyā piyā na piyā
hamāre sar pe hī ilzām 'āshiqī kā rahā
ye bār-e-ġhair ne sar par liyā liyā na liyā
kitāb-e-shauq nazar se jinheñ paḌhā.ī ga.ī
unhoñ ne ruḳh sū-e-maktab kiyā kiyā na kiyā
nahīñ hai dasht-e-junūñ meñ kisī ko 'aar is se
balā se chāk-e-garebāñ siyā siyā na siyā
haiñ be-niyāz zamm-o-mad.h tere saudā.ī
kisī ne ab koī tā’na diyā diyā na diyā
vo be-kasī hai ki vahshat ke naag Daste haiñ
ġharīb aise meñ koī jiyā jiyā na jiyā
mirī ġhazal se haiñ sakte meñ ahle-e-fikr-o-nazar
buland nā'ra-e-tahsīñ kiyā kiyā na kiyā
bahr-e-tarīq yahāñ jaan denī paḌtī hai
ḳhushī se zahr kisī ne piyā piyā na piyā
ye mai-kada hai yahāñ mai-kashoñ kī bhiiḌ rahe
kisī ne haath meñ sāġhar liyā liyā na liyā
ab aage us ke muqaddar kī baat hai 'rūmī'
koī ab un ke bharose jiyā jiyā na jiyā
junun mein sath hamara diya diya na diya
kuchh e'tibar kisi ne kiya kiya na kiya
raha hun majlis-e-saqi mein jam ka kya hai
mila mila na mila phir piya piya na piya
hamare sar pe hi ilzam 'ashiqi ka raha
ye bar-e-ghair ne sar par liya liya na liya
kitab-e-shauq nazar se jinhen paDhai gai
unhon ne ruKH su-e-maktab kiya kiya na kiya
nahin hai dasht-e-junun mein kisi ko 'ar is se
bala se chaak-e-gareban siya siya na siya
hain be-niyaz zamm-o-madh tere saudai
kisi ne ab koi ta’na diya diya na diya
wo be-kasi hai ki wahshat ke nag Daste hain
gharib aise mein koi jiya jiya na jiya
meri ghazal se hain sakte mein ahle-e-fikr-o-nazar
buland na'ra-e-tahsin kiya kiya na kiya
bahr-e-tariq yahan jaan deni paDti hai
KHushi se zahr kisi ne piya piya na piya
ye mai-kada hai yahan mai-kashon ki bhiD rahe
kisi ne hath mein saghar liya liya na liya
ab aage us ke muqaddar ki baat hai 'rumi'
koi ab un ke bharose jiya jiya na jiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.