nazron se pi raha hun main mai-KHana ja ke kya karun
nazroñ se pī rahā huuñ maiñ mai-ḳhāna jā ke kyā karūñ
mastī hai vo rū-ba-rū hosh meñ aa ke kyā karūñ
aisī pilā.ī yaar ne mujh ko sharāb-e-mā'rifat
un kā sarāpā ban gayā apne ko pā ke kyā karūñ
un se visāl hote hī me'arāj ho ga.ī mirī
'arsh hī farsh ban gayā 'arsh pe jā ke kyā karūñ
duniyā badal ga.ī mirī duniyā banā ke kyā karūñ
sāmne hai vo rū-ba-rū kā'ba ko jā ke kyā karūñ
mahv-e-jamāl-e-yār huuñ ġharq-e-visāl-e-yār huuñ
nazreñ kuchh aisī laḌ ga.ī nazreñ bachā ke kyā karūñ
baḳhshish aisī hai mirī us se merī najāt hai
dekh ke naqsh-e-pā-e-yār sar na jhukā ke kyā karūñ
ḳhidmat-e-yār-e-zindagī nisbat-e-yār-e-bandagī
us se ziyāda aur kuchh kahe ki sunā ke kyā karūñ
chashm-e-haqīqat-e-āshnā mahbūb-e-dīd hai mirī
parde meñ hai vo jalva-gar parde banā ke kyā karūñ
apne meñ us ko pā liyā jis kī talāsh thī mujhe
dair-o-haram se kaam kyā kā'ba ko jā ke kyā karūñ
naam hai 'ḳhālid' aap kā lekin haqīqat aur hai
haq hai numāyāñ aap se ġhair ko pā ke kyā karūñ
nazron se pi raha hun main mai-KHana ja ke kya karun
masti hai wo ru-ba-ru hosh mein aa ke kya karun
aisi pilai yar ne mujh ko sharab-e-ma'rifat
un ka sarapa ban gaya apne ko pa ke kya karun
un se visal hote hi me'araj ho gai meri
'arsh hi farsh ban gaya 'arsh pe ja ke kya karun
duniya badal gai meri duniya bana ke kya karun
samne hai wo ru-ba-ru ka'ba ko ja ke kya karun
mahw-e-jamal-e-yar hun gharq-e-visal-e-yar hun
nazren kuchh aisi laD gai nazren bacha ke kya karun
baKHshish aisi hai meri us se meri najat hai
dekh ke naqsh-e-pa-e-yar sar na jhuka ke kya karun
KHidmat-e-yar-e-zindagi nisbat-e-yar-e-bandagi
us se ziyaada aur kuchh kahe ki suna ke kya karun
chashm-e-haqiqat-e-ashna mahbub-e-did hai meri
parde mein hai wo jalwa-gar parde bana ke kya karun
apne mein us ko pa liya jis ki talash thi mujhe
dair-o-haram se kaam kya ka'ba ko ja ke kya karun
nam hai 'KHalid' aap ka lekin haqiqat aur hai
haq hai numayan aap se ghair ko pa ke kya karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.