nist se pahle hua jo nist hasti hai yahi
niist se pahle huā jo niist hastī hai yahī
phañs gayā gar daam hastī meñ to pastī hai yahī
apnī sūrat ko miTā kar sūrat-e-mā'nī ko dekh
haq-e-pazhohī hai yahī aur haq-parastī hai yahī
hastī mutlaq yahī hai ye jo hastī hai tirī
ho gayā jab tū fanā tab 'ain-e-hastī hai yahī
toḌ kar us sāġhar hastī ko pī sahbā-e-'ishq
mashrab-e-pīr-e-muġhāñ meñ 'ain mastī hai yahī
niist ho kar kyuuñ na rakkhā paañv rāh-e-'ishq meñ
nīstī hastī pe sālik kī barastī hai yahī
hastī-e-maujūd ke bā'is hue mahbūb ham
fil-haqīqat jaan le rāz-e-alastī hai yahī
zāt-e-vājib aur ġhaib-e-mahz ke maz.har haiñ ham
DhūñDhte usko kahāñ ho uskī bastī hai yahī
munhadim kar ai 'ḳhalīl' apnī ḳhudī kā but-kada
but-shikastan kā kamāl-e-tez-dastī hai yahī
nist se pahle hua jo nist hasti hai yahi
phans gaya gar dam hasti mein to pasti hai yahi
apni surat ko miTa kar surat-e-ma'ni ko dekh
haq-e-pazhohi hai yahi aur haq-parasti hai yahi
hasti mutlaq yahi hai ye jo hasti hai teri
ho gaya jab tu fana tab 'ain-e-hasti hai yahi
toD kar us saghar hasti ko pi sahba-e-'ishq
mashrab-e-pir-e-mughan mein 'ain masti hai yahi
nist ho kar kyun na rakkha panw rah-e-'ishq mein
nisti hasti pe salik ki barasti hai yahi
hasti-e-maujud ke ba'is hue mahbub hum
fil-haqiqat jaan le raaz-e-alasti hai yahi
zat-e-wajib aur ghaib-e-mahz ke mazhar hain hum
DhunDhte usko kahan ho uski basti hai yahi
munhadim kar ai 'KHalil' apni KHudi ka but-kada
but-shikastan ka kamal-e-tez-dasti hai yahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.