hui husn-o-ishq mein jab ba-ham uns-o-ashnai
huī husn-o-'ishq meñ jab ba-ham uns-o-āshnā.ī
kahā jab kisī ne majnūñ vahīñ lailā yaad aa.ī
rahā bahr-e-ġham meñ Duubā vale tah ko ab maiñ pahuñchā
ki ġharīq-e-'ishq ho kar huī haq se āshnā.ī
vahī zaat jalva-gar hai merī jis taraf nazar hai
nazar aatā sar-basar hai vahīñ jalva-e-ḳhudā.ī
huā but-kada meñ sākin rahā kā'ba meñ bhī lekin
vahī ek sham' raushan mujhe dono jaa.e paa.ī
maiñ huuñ maz.har-e-do-'ālam maiñ huuñ sirr-e-ism-e-ā'zam
maiñ huuñ jalva-gāh is dam bi-libās-e-fī-fanā.ī
isī tarh 'āshiqoñ ko tu milā ke Thokaroñ meñ
kare sarfarāz pyāre terī chaal maiñ ne paa.ī
ye 'ḳhalīl' mast-e-mutlaq hai fanā-e-zāt-e-hū haq
kahe phir agar anal-haq to ḳhudī kahāñ miTā.ī
hui husn-o-'ishq mein jab ba-ham uns-o-ashnai
kaha jab kisi ne majnun wahin laila yaad aai
raha bahr-e-gham mein Duba wale tah ko ab main pahuncha
ki ghariq-e-'ishq ho kar hui haq se aashnai
wahi zat jalwa-gar hai meri jis taraf nazar hai
nazar aata sar-basar hai wahin jalwa-e-KHudai
hua but-kada mein sakin raha ka'ba mein bhi lekin
wahi ek sham' raushan mujhe dono jae pai
main hun mazhar-e-do-'alam main hun sirr-e-ism-e-a'zam
main hun jalwa-gah is dam bi-libas-e-fi-fanai
isi tarh 'ashiqon ko tu mila ke Thokaron mein
kare sarfaraaz pyare teri chaal main ne pai
ye 'KHalil' mast-e-mutlaq hai fana-e-zat-e-hu haq
kahe phir agar anal-haq to KHudi kahan miTai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.