KHayal-e-pir ka jis ke hua hai dil mein nashist
KHayal-e-pir ka jis ke hua hai dil mein nashist
Shah Turab Ali Qalandar
MORE BYShah Turab Ali Qalandar
ḳhayāl-e-pīr kā jis ke huā hai dil meñ nashist
vo tifl ḳhuub javāñ-baḳht hai auر pīr-parast
maiñ us ko haath pakaḌ ke havāla kyuuñ na karūñ
milī hai pīroñ se ne.amat mujhe jo dast-ba-dast
na aañkh uThā ke dekho tum us kī aañkh kī taraf
ki hai vo turk baḌā shokH-dīda-o-bad-mast
vahī jo chāhe to ho intizām-e-hindostān
kare jo zulf-e-pareshāñ kā apne band-o-bast
tujhe pasand hai jab se mirī shikasta-dilī
mujhe bhī bhātī hai us zulf-e-pur-shikan kī shikast
na surmagīñ ho to ai turk-e-chashm mere huzūr
lagā na tīr-e-nigah dil pe mere pahan ke shikast
koī turāb ko chheḌe na az barā.e ḳhudā
vo ek rind-e-ḳharābāt hai au mast-e-alast
KHayal-e-pir ka jis ke hua hai dil mein nashist
wo tifl KHub jawan-baKHt hai auر pir-parast
main us ko hath pakaD ke hawala kyun na karun
mili hai piron se neamat mujhe jo dast-ba-dast
na aankh uTha ke dekho tum us ki aankh ki taraf
ki hai wo turk baDa shokH-dida-o-bad-mast
wahi jo chahe to ho intizam-e-hindostan
kare jo zulf-e-pareshan ka apne band-o-bast
tujhe pasand hai jab se meri shikasta-dili
mujhe bhi bhati hai us zulf-e-pur-shikan ki shikast
na surmagin ho to ai turk-e-chashm mere huzur
laga na tir-e-nigah dil pe mere pahan ke shikast
koi turab ko chheDe na az barae KHuda
wo ek rind-e-KHarabaat hai au mast-e-alast
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.