KHirad-mandon ko diwana banaya
ḳhirad-mandoñ ko dīvāna banāyā
jahāñ ko ik parī-ḳhāna banāyā
jise dekhā yahāñ hairān dekhā
ye kaisā ā.īna-ḳhāna banāyā
kiyā hushiyār jitnoñ ko bigāḌā
banāyā jis ko dīvāna banāyā
pilā.e ḳhum pe ḳhum ehsān dekho
mujhe saaqī ne ḳhum-ḳhāna banāyā
pas-e-murdan bhī huuñ mamnūn saaqī
merī miTTī se paimāna banāyā
ḳharābī dil kī kyā-kyā ishq ne kī
bharī bastī ko vīrāna banāyā
banāyā aap ne jis ko yagāna
use apnoñ ne be-gāna banāyā
banāyā dil ko gar kHalvat-gah-e-nāz
to āñkhoñ ko jalva-ḳhana banāyā
bachā soz-e-mohabbat se na koī
samundar ko bhī parvāna banāyā
hai sannā'-e-azal kā faiz 'alvī'
tirā mashrab jo rindāna banāyā
KHirad-mandon ko diwana banaya
jahan ko ek pari-KHana banaya
jise dekha yahan hairan dekha
ye kaisa aaina-KHana banaya
kiya hushiyar jitnon ko bigaDa
banaya jis ko diwana banaya
pilae KHum pe KHum ehsan dekho
mujhe saqi ne KHum-KHana banaya
pas-e-murdan bhi hun mamnun saqi
meri miTTi se paimana banaya
KHarabi dil ki kya-kya ishq ne ki
bhari basti ko virana banaya
banaya aap ne jis ko yagana
use apnon ne be-gana banaya
banaya dil ko gar kHalwat-gah-e-naz
to aankhon ko jalwa-KHana banaya
bacha soz-e-mohabbat se na koi
samundar ko bhi parwana banaya
hai sanna'-e-azal ka faiz 'alwi'
tera mashrab jo rindana banaya
- Book : Khumkhana-e-Azli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.