KHud ka parda hai tu KHud KHud ko zara dekh to le
ḳhud kā parda hai tu ḳhud ḳhud ko zarā dekh to le
ḳhud ke parde meñ tire ḳhud hai ḳhudā dekh to le
ḳhud se jo duur rahe haq se bhī vo duur rahe
hai vo ḳhud gum-shuda is baat ko pā dekh to le
kuchh nahīñ hai bhī to sab kuchh hai tū hī baat to sun
aap se aap hī tū ḳhud hai judā dekh to le
hai ḳhudā ḳhud meñ tire aur tū ḳhudā meñ gum hai
ai vo mad.hosh zarā hosh meñ aa dekh to le
aap apne ko jo jaanā vo ḳhudā ko jaanā
shah-e-laulāk kā irshād hai kyā dekh to le
nahnū aqrab kā agar bhed samajhnā ho tujhe
apnī shah-e-rag kī taraf dhyān lagā dekh to le
kar riyāzat na tū aur bhūkoñ na mar ḳhud ko samajh
rāz-e-fī-anfosekum piir se pā dekh to le
gar ḳhudā se tujhe milnā hai to ḳhud se mil le
aap apne ko zarā aañkh uThā dekh to le
naqd-e-vaqt aaj hai dīdār ḳhudā kā 'ġhausī'
apnī sūrat ko tū ā.īna banā dekh to le
KHud ka parda hai tu KHud KHud ko zara dekh to le
KHud ke parde mein tere KHud hai KHuda dekh to le
KHud se jo dur rahe haq se bhi wo dur rahe
hai wo KHud gum-shuda is baat ko pa dekh to le
kuchh nahin hai bhi to sab kuchh hai tu hi baat to sun
aap se aap hi tu KHud hai juda dekh to le
hai KHuda KHud mein tere aur tu KHuda mein gum hai
ai wo madhosh zara hosh mein aa dekh to le
aap apne ko jo jaana wo KHuda ko jaana
shah-e-laulak ka irshad hai kya dekh to le
nahnu aqrab ka agar bhed samajhna ho tujhe
apni shah-e-rag ki taraf dhyan laga dekh to le
kar riyazat na tu aur bhukon na mar KHud ko samajh
raaz-e-fi-anfosekum pir se pa dekh to le
gar KHuda se tujhe milna hai to KHud se mil le
aap apne ko zara aankh uTha dekh to le
naqd-e-waqt aaj hai didar KHuda ka 'ghausi'
apni surat ko tu aaina bana dekh to le
- Book : Taiyabat-e-Ghosui (Pg. 79)
- Author : Ghousi Shah
- Publication : Aazam Steam Press, Hyderabad (1952)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.