KHuda dikhae kisi gul-ezar ki surat
ḳhudā dikhā.e kisī gul-ezār kī sūrat
shagufta-dil ho gul-e-nau-bahār kī sūrat
kahāñ hai dār-e-fanā meñ qarār kī sūrat
numūd-e-umr hai barq-o-sharār kī sūrat
ba-rañg-e-sarv haiñ āzād bāġh-e-a.alam meñ
hai ek apnī ḳhizāñ-o-bahār kī sūrat
hazār haif ki manzil pe qāfila pahuñchā
maiñ phir rahā huuñ pareshāñ ġhubār kī sūrat
sharīk-e-dard na koī tamām umr huā
jalā kiyā maiñ charāġh-e-mazār kī sūrat
kiyā nahīf ye ġham ne mujhe ki ek huī
tirī kamar kī mere jism-e-zār kī sūrat
hamārī aañkh hai yārab ki chashm-e-qurbānī
mare pe bhī hai vahī intizār kī sūrat
na rāstī kā nishāñ sarv meñ na gul meñ hai bū
badal ga.ī chamn-e-rozgār kī sūrat
us ishtiyāq meñ hāthoñ pe ham ne khaa.e haiñ gil
paḌeñ kisī ke gale meñ ye haar kī sūrat
firāq-e-yār ne muzhda banā diyā aisā
makān bhī nazar aayā mazār kī sūrat
na chheḌ ai dil unheñ gāliyāñ haiñ muñh pe dharī
baras paḌeñge vo abr-e-bahār kī sūrat
shagufta kyuuñ na huuñ bārish kā taar dekh ke mast
bañdhī to hai bat-e-mai ke shikār kī sūrat
ḳhushā 'amīr' vo mun.im ki hoke daulat-mand
jhukā.e sar shajar-e-meva-dār kī sūrat
KHuda dikhae kisi gul-ezar ki surat
shagufta-dil ho gul-e-nau-bahaar ki surat
kahan hai dar-e-fana mein qarar ki surat
numud-e-umr hai barq-o-sharar ki surat
ba-rang-e-sarw hain aazad bagh-e-alam mein
hai ek apni KHizan-o-bahaar ki surat
hazar haif ki manzil pe qafila pahuncha
main phir raha hun pareshan ghubar ki surat
sharik-e-dard na koi tamam umr hua
jala kiya main charagh-e-mazar ki surat
kiya nahif ye gham ne mujhe ki ek hui
teri kamar ki mere jism-e-zar ki surat
hamari aankh hai yarab ki chashm-e-qurbani
mare pe bhi hai wahi intizar ki surat
na rasti ka nishan sarw mein na gul mein hai bu
badal gai chamn-e-rozgar ki surat
us ishtiyaq mein hathon pe hum ne khae hain gil
paDen kisi ke gale mein ye haar ki surat
firaq-e-yar ne muzhda bana diya aisa
makan bhi nazar aaya mazar ki surat
na chheD ai dil unhen galiyan hain munh pe dhari
baras paDenge wo abr-e-bahaar ki surat
shagufta kyun na hun barish ka tar dekh ke mast
bandhi to hai bat-e-mai ke shikar ki surat
KHusha 'amir' wo munim ki hoke daulat-mand
jhukae sar shajar-e-mewa-dar ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.