ye hai sharab-e-ishq ise dil laga ke pi
ye hai sharāb-e-'ishq ise dil lagā ke pī
āñkhoñ meñ apne yaar kā naqsha jamā ke pī
tauba ko toḌ taaḌ ke īmān lā ke pī
saaqī ke har nigāhoñ pe qurbān jā ke pī
piinā baġhair yaar ke tarīqat meñ hai harām
kHalvat-kada meñ yaar ko apne biThā ke pī
kyā māñgtā hai ġhair se do chaar jaam to
ghar baiThe apne yaar ke ghar se mañgā ke pī
bhaTTī meñ lā-ilāha ke ye hai Dhalī huī
vo hai madīne vaale ke muñh kī bachī huī
aisī sharāb-e-shauq se pī aur pilā ke pī
sajda meñ baiTh jā aur musallā bichhā ke pī
kyuuñ Dartā hai 'ḳhurshīd' kyā ḳhauf hai tujhe
ġhaus-ul-varā ke naam kā Dañkā bajā ke pī
ye hai sharab-e-'ishq ise dil laga ke pi
aankhon mein apne yar ka naqsha jama ke pi
tauba ko toD taD ke iman la ke pi
saqi ke har nigahon pe qurban ja ke pi
pina baghair yar ke tariqat mein hai haram
kHalwat-kada mein yar ko apne biTha ke pi
kya mangta hai ghair se do chaar jam to
ghar baiThe apne yar ke ghar se manga ke pi
bhaTTi mein la-ilaha ke ye hai Dhali hui
wo hai madine wale ke munh ki bachi hui
aisi sharab-e-shauq se pi aur pila ke pi
sajda mein baiTh ja aur musalla bichha ke pi
kyun Darta hai 'KHurshid' kya KHauf hai tujhe
ghaus-ul-wara ke nam ka Danka baja ke pi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.