KHushi se dur hun na-ashna-e-bazm-e-’ishrat hun
KHushi se dur hun na-ashna-e-bazm-e-’ishrat hun
Shah Mohsin Danapuri
MORE BYShah Mohsin Danapuri
ḳhushī se duur huuñ nā-āshnā-e-bazm-e-’ishrat huuñ
sarāpā dard huuñ vābasta-e-zanjēr-e-qismat huuñ
haqīqat meñ koī vāqif nahīñ merī haqīqat se
muamma huuñ kisī kā raaz huuñ yā sirr-e-qudrat huuñ
koī samjhe to kyā samjhe koī jaane to kyā jaane
kisī kā aks huuñ ā.īna-dār-e-bazm-e-hasrat huuñ
gulistāñ kī chaman ārā.iyoñ se mujh ko kyā matlab
ki pāband-e-qafas huuñ mubtalā-e-dard-e-ulfat huuñ
vo dil huuñ vo zabāñ huuñ jin meñ goyā.ī nahīñ goyā
mirī tarkīb kahtī hai ki tasvīr-e-mohabbat huuñ
ġhazab kī chaal gulshan meñ chalā hai bāġhbāñ 'mohsin'
isī kā ye natīja hai ki pāmāl-e-sa’ūbat huuñ
KHushi se dur hun na-ashna-e-bazm-e-’ishrat hun
sarapa dard hun wabasta-e-zanjeer-e-qismat hun
haqiqat mein koi waqif nahin meri haqiqat se
muamma hun kisi ka raaz hun ya sirr-e-qudrat hun
koi samjhe to kya samjhe koi jaane to kya jaane
kisi ka aks hun aaina-dar-e-bazm-e-hasrat hun
gulistan ki chaman aaraiyon se mujh ko kya matlab
ki paband-e-qafas hun mubtala-e-dard-e-ulfat hun
wo dil hun wo zaban hun jin mein goyai nahin goya
meri tarkib kahti hai ki taswir-e-mohabbat hun
ghazab ki chaal gulshan mein chala hai baghban 'mohsin'
isi ka ye natija hai ki pamal-e-sa’ubat hun
- Book : Kulliyat-e-Mohsin
- Author : Shah Mohsin Danapuri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.