KHub ruyat ke aashna hain hum
ḳhuub rūyat ke āshnā haiñ ham
'āshiq-e-maz.har-e-ḳhudā haiñ ham
ek hai nuur jis ke sab jalve
dekho maujūd jā-bajā haiñ ham
ham jahāñ meñ nahīñ haiñ tālib-e-ġhair
apne hī aap mubtalā haiñ ham
be-ḳhudī jab ki aan pahuñche hai
phir nahīñ jānte ke kyā haiñ ham
ham ko mat jāniyo faqīr 'asġhar'
mulk-e-vahdat ke bādshāh haiñ ham
KHub ruyat ke aashna hain hum
'ashiq-e-mazhar-e-KHuda hain hum
ek hai nur jis ke sab jalwe
dekho maujud ja-baja hain hum
hum jahan mein nahin hain talib-e-ghair
apne hi aap mubtala hain hum
be-KHudi jab ki aan pahunche hai
phir nahin jaante ke kya hain hum
hum ko mat jaaniyo faqir 'asghar'
mulk-e-wahdat ke baadshah hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.