KHwab-e-adam se ishq ne hum ko jaga diya
ḳhvāb-e-'adam se 'ishq ne ham ko jagā diyā
āñkheñ khulīñ ki roz tamāsha dikhā diyā
duniyā-o-dīñ ke qabz meñ rahtā thā dil bahut
shukr-e-ḳhudā ki 'ishq ne jhagḌā miTā diyā
aa.e the ham 'adam se ke dekheñge nūr-e-haq
ġhaflat ne aah bhar ke jahāñ meñ sulā diyā
jis vaqt teġh khīñch ke aayā vo gul-badan
mānind-e-ġhuncha ham ne sar apnā jhukā diyā
jo chiiz de chuke use phir māñgte nahīñ
us sham.a-rū ko ham ne dil apnā diyā diyā
sham-e’-azal kā nuur jo raushan huā bahut
fānūs-e-dil meñ us ko ḳhudā ne chhipā diyā
'asġhar' savāl jis ne kiyā thā alast kā
qaalū balā javāb ḳhud us ne sikhā diyā
KHwab-e-'adam se 'ishq ne hum ko jaga diya
aankhen khulin ki roz tamasha dikha diya
duniya-o-din ke qabz mein rahta tha dil bahut
shukr-e-KHuda ki 'ishq ne jhagDa miTa diya
aae the hum 'adam se ke dekhenge nur-e-haq
ghaflat ne aah bhar ke jahan mein sula diya
jis waqt tegh khinch ke aaya wo gul-badan
manind-e-ghuncha hum ne sar apna jhuka diya
jo chiz de chuke use phir mangte nahin
us shama-ru ko hum ne dil apna diya diya
sham-e’-azal ka nur jo raushan hua bahut
fanus-e-dil mein us ko KHuda ne chhipa diya
'asghar' sawal jis ne kiya tha alast ka
qalu bala jawab KHud us ne sikha diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.