haal mein apne mast hun ghair ka hosh hi nahin
haal mein apne mast hun ghair ka hosh hi nahin
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
haal meñ apne mast huuñ ġhair kā hosh hī nahīñ
rahtā huuñ maiñ jahāñ meñ yuuñ jaise yañh koī nahīñ
koī mazā mazā nahīñ koī hañsī hañsī nahīñ
tere baġhair zindagī maut hai zindagī nahīñ
is dil-e-zār se mafar 'ishq meñ jiite jī nahīñ
ronā hai mujh ko 'umr-bhar ġham mirā ’ārzī nahīñ
pīr-e-muġhāñ kā dam kahāñ us kī vo bazm-e-jam kahāñ
baada nahīñ to ham kahāñ ziist ye ziist hī nahīñ
jaa.eñ ba-chashm-e-nam kahāñ ro.eñ ab apnā ġham kahāñ
pahle se ab karam kahāñ aisā to ab koī nahīñ
hijr kī shab 'ajab hai shab-e-hāl ye kyā hai lil'ajab
taare haiñ raushnī nahīñ chāñd hai chāñdnī nahīñ
shīsha hai jaam hai na ḳhum asal to raunaqeñ haiñ gum
laakh sajā rahe ho tum bazm abhī sajī nahīñ
kitnā hī tū baḌā sahī ye bhī hai zāhid āgahī
samjhe jo ḳhud ko muntahī vo abhī mubtadī nahīñ
husn kī bārgāh hai sahal koī nibāh hai
aah bhī ik gunāh hai 'ishq bhī dil-lagī nahīñ
baiThā huuñ maiñ jhukā.e sar nīchī kiye hue nazar
bazm meñ sab sahī magar vo jo nahīñ koī nahīñ
un kī mohabbat-e-āh meñ shauq-bharī nigāh meñ
ya.anī abhī hai raah meñ dil meñ abhī basī nahīñ
ai mire bāġh-e-ārzū kaisā hai bāġh-hā-e-tū
kaliyāñ to go haiñ chaar sū koī kalī khilī nahīñ
dil meñ lagā ke un kī lau kar de jahāñ meñ nashr-e-zau
sham.eñ to jal rahī haiñ sau bazm meñ raushnī nahīñ
haal mein apne mast hun ghair ka hosh hi nahin
rahta hun main jahan mein yun jaise yanh koi nahin
koi maza maza nahin koi hansi hansi nahin
tere baghair zindagi maut hai zindagi nahin
is dil-e-zar se mafar 'ishq mein jite ji nahin
rona hai mujh ko 'umr-bhar gham mera ’arzi nahin
pir-e-mughan ka dam kahan us ki wo bazm-e-jam kahan
baada nahin to hum kahan zist ye zist hi nahin
jaen ba-chashm-e-nam kahan roen ab apna gham kahan
pahle se ab karam kahan aisa to ab koi nahin
hijr ki shab 'ajab hai shab-e-haal ye kya hai lil'ajab
tare hain raushni nahin chand hai chandni nahin
shisha hai jam hai na KHum asal to raunaqen hain gum
lakh saja rahe ho tum bazm abhi saji nahin
kitna hi tu baDa sahi ye bhi hai zahid aagahi
samjhe jo KHud ko muntahi wo abhi mubtadi nahin
husn ki bargah hai sahal koi nibah hai
aah bhi ek gunah hai 'ishq bhi dil-lagi nahin
baiTha hun main jhukae sar nichi kiye hue nazar
bazm mein sab sahi magar wo jo nahin koi nahin
un ki mohabbat-e-ah mein shauq-bhari nigah mein
yani abhi hai rah mein dil mein abhi basi nahin
ai mere bagh-e-arzu kaisa hai bagh-ha-e-tu
kaliyan to go hain chaar su koi kali khili nahin
dil mein laga ke un ki lau kar de jahan mein nashr-e-zau
shamen to jal rahi hain sau bazm mein raushni nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.