wo mast-e-naz aata hai zara hushiyar ho jaana
wo mast-e-naz aata hai zara hushiyar ho jaana
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
vo mast-e-nāz aatā hai zarā hushiyār ho jaanā
yahīñ dekhā gayā hai be-piye sarshār ho jaanā
hamārā shuġhl hai rātoñ ko ronā yād-e-dilbar meñ
hamārī niiñd hai mahv-e-ḳhayāl-e-yār ho jaanā
tasavvur kī mire gul-kāriyāñ sayyād kyā jaane
qafas kā bhī guloñ kī yaad meñ gulzār ho jaanā
lagāvaT se tirī kyā dil khile ma'alūm hai ham ko
zarā sī baat meñ khiñch kar tirā talvār ho jaanā
'abas hai justujū bahr-e-mohabbat ke kināre kī
bas us meñ Duub marnā hī hai ai dil paar ho jaanā
nahīñ darkār-e-mai ham ko piye jā tū hī ai saaqī
hameñ to mast karatā hai tirā sarshār ho jaanā
ḳhabar kyā thī ki us inkār meñ iqrār pinhāñ hai
mirā ġhash khā ke gir paḌnā ki bas dīdār ho jaanā
wo mast-e-naz aata hai zara hushiyar ho jaana
yahin dekha gaya hai be-piye sarshaar ho jaana
hamara shughl hai raaton ko rona yaad-e-dilbar mein
hamari nind hai mahw-e-KHayal-e-yar ho jaana
tasawwur ki mere gul-kariyan sayyaad kya jaane
qafas ka bhi gulon ki yaad mein gulzar ho jaana
lagawaT se teri kya dil khile ma'alum hai hum ko
zara si baat mein khinch kar tera talwar ho jaana
'abas hai justuju bahr-e-mohabbat ke kinare ki
bas us mein Dub marna hi hai ai dil par ho jaana
nahin darkar-e-mai hum ko piye ja tu hi ai saqi
hamein to mast karata hai tera sarshaar ho jaana
KHabar kya thi ki us inkar mein iqrar pinhan hai
mera ghash kha ke gir paDna ki bas didar ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.