na dekhunga hasinon ko are tauba na dekhunga
na dekhunga hasinon ko are tauba na dekhunga
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
na dekhūñgā hasīnoñ ko are tauba na dekhūñgā
taqāza laakh tū kar ai dil-e-shaidā na dekhūñgā
karūñ nāseh maiñ kyuuñ kar haa.e ye va'ada na dekhūñgā
nazar paḌ jā.egī ḳhud hī jo dānista na dekhūñgā
nigāh-e-nāz ko terī meñ sharminda na dekhūñgā
haTā.e letā huuñ apnī nazar achchhā na dekhūñgā
vo kahte haiñ na samjhūñgā tujhe 'majzūb' maiñ 'āshiq
ki jab tak kūcha-o-bāzār meñ rusvā na dekhūñgā
balā se maiñ agar ro ro ke bīnā.ī bhī kho baiThoñ
karūñgā kyā in āñkhoñ ko jo vo jalvā na dekhūñgā
uThā.ūñgā na zaanū se maiñ hargiz apnā sar hamdam
are maiñ apnī āñkhoñ se unheñ jaatā na dekhūñgā
zarā ai nāseh-e-farzāna chal kar sun to do bāteñ
na hogā phir bhī tū 'majzūb' kā dīvāna dekhūñgā
na dekhunga hasinon ko are tauba na dekhunga
taqaza lakh tu kar ai dil-e-shaida na dekhunga
karun naseh main kyun kar hae ye wa'ada na dekhunga
nazar paD jaegi KHud hi jo danista na dekhunga
nigah-e-naz ko teri mein sharminda na dekhunga
haTae leta hun apni nazar achchha na dekhunga
wo kahte hain na samjhunga tujhe 'majzub' main 'ashiq
ki jab tak kucha-o-bazar mein ruswa na dekhunga
bala se main agar ro ro ke binai bhi kho baiThon
karunga kya in aankhon ko jo wo jalwa na dekhunga
uThaunga na zanu se main hargiz apna sar hamdam
are main apni aankhon se unhen jata na dekhunga
zara ai naseh-e-farzana chal kar sun to do baaten
na hoga phir bhi tu 'majzub' ka diwana dekhunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.