wo haq ke sath rabita-e-dil nahin raha
wo haq ke sath rabita-e-dil nahin raha
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
vo haq ke saath rābita-e-dil nahīñ rahā
majzūb us laqab hī ke qābil nahīñ rahā
vo aañkh ab nahīñ hai vo ab dil nahīñ rahā
'majzūb' muñh dikhāne ke qābil nahīñ rahā
nā-guftanī hai haal mirā kuchh na pochhiye
kahne ke aur sunñe ke qābil nahīñ rahā
vo aañkh jo na ġhair ko dekhe nahīñ rahī
vo dil jo ho na ġhair pe maa.il nahīñ rahā
maiñ laakh tauba karatā huuñ nibhtī nahīñ kabhī
ab apne 'azm kā to maiñ qaa.il nahīñ rahā
us ke sivā ki aap hī merī madad kareñ
kuchh chāra mere murshid-e-kāmil nahīñ rahā
tārāj kar liyā mujhe shaitān-o-nafs ne
jo kuchh kiyā thā aap se hāsil nahīñ rahā
vo haal ho gayā hai ki goyā kabhī bhī maiñ
ḳhuddām meñ huzūr ke dāḳhil nahīñ rahā
nā-chār bahr-e-chāra chalā aayā sar-nigūñ
varna maiñ muñh dikhāne ke qābil nahīñ rahā
ab rāt-din hai zikr butāñ aur shuġhl-e-'ishq
allāh kā maiñ zākir-o-shāġhil nahīñ rahā
pahlū meñ mere vo dil-e-nāpāk hai huzūr
maiñ paas baiThne ke bhī qābil nahīñ rahā
qaabū meñ mere ab mirī āñkheñ nahīñ rahīñ
kahne meñ mere ab ye mirā dil nahīñ rahā
dast-e-karam ho jānib-e-'majzūb' phir darāz
mahrūm aap kā kabhī saa.el nahīñ rahā
wo haq ke sath rabita-e-dil nahin raha
majzub us laqab hi ke qabil nahin raha
wo aankh ab nahin hai wo ab dil nahin raha
'majzub' munh dikhane ke qabil nahin raha
na-guftani hai haal mera kuchh na pochhiye
kahne ke aur sunne ke qabil nahin raha
wo aankh jo na ghair ko dekhe nahin rahi
wo dil jo ho na ghair pe mail nahin raha
main lakh tauba karata hun nibhti nahin kabhi
ab apne 'azm ka to main qail nahin raha
us ke siwa ki aap hi meri madad karen
kuchh chaara mere murshid-e-kaamil nahin raha
taraj kar liya mujhe shaitan-o-nafs ne
jo kuchh kiya tha aap se hasil nahin raha
wo haal ho gaya hai ki goya kabhi bhi main
KHuddam mein huzur ke daKHil nahin raha
na-chaar bahr-e-chaara chala aaya sar-nigun
warna main munh dikhane ke qabil nahin raha
ab raat-din hai zikr butan aur shughl-e-'ishq
allah ka main zakir-o-shaghil nahin raha
pahlu mein mere wo dil-e-napak hai huzur
main pas baiThne ke bhi qabil nahin raha
qabu mein mere ab meri aankhen nahin rahin
kahne mein mere ab ye mera dil nahin raha
dast-e-karam ho jaanib-e-'majzub' phir daraaz
mahrum aap ka kabhi sael nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.