ajab kya gar mujhe aalam ba-in wusat bhi zindan tha
ajab kya gar mujhe aalam ba-in wusat bhi zindan tha
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
'ajab kyā gar mujhe 'ālam bā-īñ vus'at bhī zindāñ thā
maiñ vahshī bhī to vo huuñ lā-makāñ jis kā bayābāñ thā
kisī kī yaad meñ baiThe jo sab se be-ġharaz ho kar
to apnā boriyā bhī phir hameñ taḳht-e-sulaimāñ thā
zarā dekho to ye ulTī rasā.ī merī qismat kī
vo niklā ġhair ke dil se jo mere dil kā armāñ thā
hañse bhī ham to misl-e-barq vo hañsnā hañse ai dil
ki jis hañsne meñ duniyā bhar kā ronā haaye pinhāñ thā
jo ruḳh badlā hai saaqī ne digar-gūñ rañg-e-mahfil hai
vo ḳhandāñ hai jo giryāñ thā vo giryāñ hai jo ḳhandāñ thā
bhalā 'majzūb' kuchh to hosh rakhte aise mauqa’ par
ġhazab hai mezbāñ banñā paḌā us ko jo mehmāñ thā
'ajab kya gar mujhe 'alam ba-in wus'at bhi zindan tha
main wahshi bhi to wo hun la-makan jis ka bayaban tha
kisi ki yaad mein baiThe jo sab se be-gharaz ho kar
to apna boriya bhi phir hamein taKHt-e-sulaiman tha
zara dekho to ye ulTi rasai meri qismat ki
wo nikla ghair ke dil se jo mere dil ka arman tha
hanse bhi hum to misl-e-barq wo hansna hanse ai dil
ki jis hansne mein duniya bhar ka rona haye pinhan tha
jo ruKH badla hai saqi ne digar-gun rang-e-mahfil hai
wo KHandan hai jo giryan tha wo giryan hai jo KHandan tha
bhala 'majzub' kuchh to hosh rakhte aise mauqa’ par
ghazab hai mezban banna paDa us ko jo mehman tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.