bhulata hun phir bhi wo yaad aa rahe hain
bhulata hun phir bhi wo yaad aa rahe hain
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
bhulātā huuñ phir bhī vo yaad aa rahe haiñ
vahī chāhte haiñ maiñ kyā chāhtā huuñ
tere vasl kī taab kyā lā sakūñgā
ta'alluq faqat duur kā chāhtā huuñ
rahūñ zikr-o-tā'at meñ har-dam ilāhī
yahī 'umr-bhar mashġhala chāhtā huuñ
maiñ kab tak phirūñ dar-ba-dar mārā-mārā
tire dar pe ab baiThnā chāhtā huuñ
ba-vaqt-e-ḳhushī ho fanā kā tasavvur
masarrat bhī hasrat-fazā chāhtā huuñ
na apnā bhī jis meñ guzar ho ilāhī
ab aisī maiñ ḳhalvat-sarā chāhtā huuñ
maiñ 'majzūb' kab tak rahūñ mere maulā
bas ab hosh apne bajā chāhtā huuñ
bhulata hun phir bhi wo yaad aa rahe hain
wahi chahte hain main kya chahta hun
tere wasl ki tab kya la sakunga
ta'alluq faqat dur ka chahta hun
rahun zikr-o-ta'at mein har-dam ilahi
yahi 'umr-bhar mashghala chahta hun
main kab tak phirun dar-ba-dar mara-mara
tere dar pe ab baiThna chahta hun
ba-waqt-e-KHushi ho fana ka tasawwur
masarrat bhi hasrat-faza chahta hun
na apna bhi jis mein guzar ho ilahi
ab aisi main KHalwat-sara chahta hun
main 'majzub' kab tak rahun mere maula
bas ab hosh apne baja chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.