Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ghaTa uThi hai tu bhi khol zulf-e-’ambarin saqi

Khwaja Azizul Hasan Majzoob

ghaTa uThi hai tu bhi khol zulf-e-’ambarin saqi

Khwaja Azizul Hasan Majzoob

ghaTā uThī hai bhī khol zulf-e-’ambarīñ saaqī

tire hote falak se kyuuñ ho sharminda zamīñ saaqī

ye kis bhaTTī ne sharāb-e-ātishīñ saaqī

ki piite ragoñ meñ bijliyāñ bhar ga.iiñ saaqī

yahīñ se pā.ūñgā har ne’mat-e-duniyā-o-dīñ saaqī

kahīñ kyuuñ jā.ūñ tere mai-kada meñ kyā nahīñ saaqī

jo tar-dāman hai terā paak dāmānoñ se behtar hai

garebāñ chaak hai ashkoñ se tar hai āstīñ saaqī

na chheḌ ai mohtasib maiñ huuñ mai-e-vahdat matvālā

maiñ vo mai-ḳhvār huuñ jis ke haiñ ḳhatm-ul-mursalīn saaqī

salāmat terā mai-ḳhāna salāmat tere mastāne

rahegā rañg-e-’ālam meñ yahī tā-yaum-e-dīñ saaqī

vahī bāteñ to ‘majzūb’ apnī baḌ meñ kah sunātā hai

zarā sambhle hue lafzoñ meñ jo tuune kahīñ saaqī

'ajab mashrab hai terā tujh ko ai ‘majzūb’ kyā samjheñ

kahīñ pīr-e-muġhāñ hai kahīñ mai-kash kahīñ saaqī

ghaTa uThi hai tu bhi khol zulf-e-’ambarin saqi

tere hote falak se kyun ho sharminda zamin saqi

ye kis bhaTTi ki di tu ne sharab-e-atishin saqi

ki pite hi ragon mein bijliyan si bhar gain saqi

yahin se paunga har ne’mat-e-duniya-o-din saqi

kahin kyun jaun tere mai-kada mein kya nahin saqi

jo tar-daman hai tera pak damanon se behtar hai

gareban chaak hai ashkon se tar hai aastin saqi

na chheD ai mohtasib main hun mai-e-wahdat ka matwala

main wo mai-KHwar hun jis ke hain KHatm-ul-mursalin saqi

salamat tera mai-KHana salamat tere mastane

rahega rang-e-’alam mein yahi ta-yaum-e-din saqi

wahi baaten to ‘majzub’ apni baD mein kah sunata hai

zara sambhle hue lafzon mein jo tune kahin saqi

'ajab mashrab hai tera tujh ko ai ‘majzub’ kya samjhen

kahin pir-e-mughan tu hai kahin mai-kash kahin saqi

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now