jo teri yaad furqat mein meri dam-saz ban jae
jo teri yaad furqat mein meri dam-saz ban jae
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
jo terī yaad furqat meñ mirī dam-sāz ban jaa.e
to mere dil kī har dhaḌkan tirī āvāz ban jaa.e
taras kuchh aa chalā sayyād ko haañ phaḌphaḌā.e jā
ye shāyad sūrat-e-parvāz hī parvāz ban jaa.e
numāyāñ ho na chehre se na āñkhoñ se na bātoñ se
mohabbat rāz-andar rāz-andar raaz ban jaa.e
haram se karatā hai kis rind ko shaiḳh-e-haram ḳhārij
jahāñ maiñ baiTh jā.ūñ jalva-gāh-e-nāz ban jaa.e
jo haiñ Dālūñ nigāheñ husn meñ sab jazb ho jaa.eñ
koī to naaz ban jaa.e koī andāz ban jaa.e
na uf bhī maiñ ne kī phir bhī jafā kā terī shohra hai
mirā kyā bas ḳhamoshī bhī agar āvāz ban jaa.e
masīhā ho qazā ho yaas ho ummīd ho vo hoñ
koī to chāra-sāz-e-kHātir-e-nāsāz ban jaa.e
piye tū mai to ye terā lab-e-be-kaif ai vaa.iz
lab-e-sāġhar se mil-mil kar lab-e-e.ajāz ban jaa.e
jo teri yaad furqat mein meri dam-saz ban jae
to mere dil ki har dhaDkan teri aawaz ban jae
taras kuchh aa chala sayyaad ko han phaDphaDae ja
ye shayad surat-e-parwaz hi parwaz ban jae
numayan ho na chehre se na aankhon se na baaton se
mohabbat raaz-andar raaz-andar raaz ban jae
haram se karata hai kis rind ko shaiKH-e-haram KHarij
jahan main baiTh jaun jalwa-gah-e-naz ban jae
jo hain Dalun nigahen husn mein sab jazb ho jaen
koi to naz ban jae koi andaz ban jae
na uf bhi main ne ki phir bhi jafa ka teri shohra hai
mera kya bas KHamoshi bhi agar aawaz ban jae
masiha ho qaza ho yas ho ummid ho wo hon
koi to chaara-saz-e-kHatir-e-nasaz ban jae
piye tu mai to ye tera lab-e-be-kaif ai waiz
lab-e-saghar se mil-mil kar lab-e-eajaz ban jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.