husn-e-pari ek jalwa-e-mastana hai us ka
husn-e-pari ek jalwa-e-mastana hai us ka
Khwaja Haidar Ali Aatish
MORE BYKhwaja Haidar Ali Aatish
husn-e-parī ik jalva-e-mastāna hai us kā
hoshiyār vahī hai ki jo dīvāna hai us kā
jo chashm ki hairāñ huī ā.īna hai us kī
jo siina ki sad-chāk huā shāna hai us kā
āvārgī-e-nik.hat-e-gul se hai ishāra
jaama se jo bāhar hai vo dīvāna hai us kā
giryāñ hai agar sham.a to sar dhuntā hai sho’ala
mā'lūm huā soḳhta parvāna hai us kā
vo yaad hai us kī ki bhulā de do-jahāñ ko
hālat ko kare ġhair vo yārāna hai us kā
yūsuf nahīñ jo haath lage chand dirham meñ
qīmat jo do-'ālam kī hai bai'āna hai us kā
dil qasr-e-shahanshāh hai vo shoḳh is meñ shahanshah
'arsa ye do-’ālam kā jalva-ḳhāna hai us kā
ye haal huā us ke faqīroñ se huvaidā
ālūda-e-duniyā jo hai begāna hai us kā
shukrāna-e-sāqiī azal karatā hai 'ātish'
mā'mūr mai-e-shauq se paimāna hai us kā
husn-e-pari ek jalwa-e-mastana hai us ka
hoshiyar wahi hai ki jo diwana hai us ka
jo chashm ki hairan hui aaina hai us ki
jo sina ki sad-chaak hua shana hai us ka
aawargi-e-nikhat-e-gul se hai ishaara
jama se jo bahar hai wo diwana hai us ka
giryan hai agar shama to sar dhunta hai sho’ala
ma'lum hua soKHta parwana hai us ka
wo yaad hai us ki ki bhula de do-jahan ko
haalat ko kare ghair wo yarana hai us ka
yusuf nahin jo hath lage chand dirham mein
qimat jo do-'alam ki hai bai'ana hai us ka
dil qasr-e-shahanshah hai wo shoKH is mein shahanshah
'arsa ye do-’alam ka jalwa-KHana hai us ka
ye haal hua us ke faqiron se huwaida
aaluda-e-duniya jo hai begana hai us ka
shukrana-e-saqii azal karata hai 'atish'
ma'mur mai-e-shauq se paimana hai us ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.