habab-asa mein dam bharta hun teri aashnai ka
habab-asa mein dam bharta hun teri aashnai ka
Khwaja Haidar Ali Aatish
MORE BYKhwaja Haidar Ali Aatish
habāb-āsā meñ dam bhartā huuñ terī āshnā.ī kā
nihāyat ġham hai is qatre ko dariyā kī judā.ī kā
asiir ai dost tere ’āshiq-o-mā'shūq donoñ haiñ
giraftār āhanī-zanjīr kā ye vo tilā.ī kā
ta.alluq ruuh se tujh ko jasad kā nāgavārā hai
zamāna meñ chalan hai chaar din kī āshnā.ī kā
nazar aatī haiñ har sū sūrateñ hī sūrateñ mujh ko
koī ā.īna-ḳhāna kār-ḳhānā hai ḳhudā.ī kā
visāl-e-yār kā va.ada hai fardā-e-qayāmat par
yaqīñ mujh ko nahīñ hai gor tak apnī rasā.ī kā
dil apnā ā.īna hai saaf 'ishq-e-pāk rakhtā hai
tamāshā dekhtā hai husn is meñ ḳhud-numā.ī kā
nahīñ dekhā hai lekin tujh ko pahchānā hai ātish ne
bajā hai ai sanam jo tujh ko da.ava hai ḳhudā.ī kā
habab-asa mein dam bharta hun teri aashnai ka
nihayat gham hai is qatre ko dariya ki judai ka
asir ai dost tere ’ashiq-o-ma'shuq donon hain
giraftar aahani-zanjir ka ye wo tilai ka
talluq ruh se tujh ko jasad ka nagawara hai
zamana mein chalan hai chaar din ki aashnai ka
nazar aati hain har su suraten hi suraten mujh ko
koi aaina-KHana kar-KHana hai KHudai ka
visal-e-yar ka wada hai farda-e-qayamat par
yaqin mujh ko nahin hai gor tak apni rasai ka
dil apna aaina hai saf 'ishq-e-pak rakhta hai
tamasha dekhta hai husn is mein KHud-numai ka
nahin dekha hai lekin tujh ko pahchana hai aatish ne
baja hai ai sanam jo tujh ko dawa hai KHudai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.