yaro mera shikwa hi bhala kijiye us se
yaaro mirā shikvā hī bhalā kījiye us se
mazkūr kisī tarah to jaake kījiye us se
juuñ juuñ vo ghaTe hai to yahi aa.e hai jī meñ
phir chheḌiye aur bāteñ sunā kījiye us se
sau martaba yuuñ Thahar chukī ab se na miliye
do din bhī to nahīñ bantī hai kyā kījiye us se
bezār agar mujh se ho muḳhtār ho behtar
dil jis se mile apnā milā kījiye us se
nahīñ kahte na the 'dard' miyāñ chhoḌ ye bāteñ
paa.ī na sazā aur vafā kījiye us se
yaro mera shikwa hi bhala kijiye us se
mazkur kisi tarah to jake kijiye us se
jun jun wo ghaTe hai to yahi aae hai ji mein
phir chheDiye aur baaten suna kijiye us se
sau martaba yun Thahar chuki ab se na miliye
do din bhi to nahin banti hai kya kijiye us se
bezar agar mujh se ho muKHtar ho behtar
dil jis se mile apna mila kijiye us se
nahin kahte na the 'dard' miyan chhoD ye baaten
pai na saza aur wafa kijiye us se
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 301)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.