mane nahin hum wo but-e-KHud-kaam kahin ho
maan.e nahīñ ham vo but-e-ḳhud-kām kahīñ ho
par us dil-e-betāb ko ārām kahīñ ho
ḳhurshīd ke mānind phirūñ kab ta.iiñ yā-rab
nit sub.h kahīñ hove mujhe shaam kahīñ ho
mai-kHāna-e-ālam hai vo rabt ki jis meñ
hove jo surāhī kahīñ ko jaam kahīñ ho
va.ade to mere saath ka.e tū ne hazāroñ
par ek bhī itnoñ meñ sar-anjām kahīñ ho
har chand nahīñ sabr tujhe 'dard' va-lekin
itnā bhī na miliyo ki vo bad-nām kahīñ ho
mane nahin hum wo but-e-KHud-kaam kahin ho
par us dil-e-betab ko aaram kahin ho
KHurshid ke manind phirun kab tain ya-rab
nit subh kahin howe mujhe sham kahin ho
mai-kHana-e-alam hai wo rabt ki jis mein
howe jo surahi kahin ko jam kahin ho
wade to mere sath kae tu ne hazaron
par ek bhi itnon mein sar-anjam kahin ho
har chand nahin sabr tujhe 'dard' wa-lekin
itna bhi na miliyo ki wo bad-nam kahin ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.