wahdat ne har taraf tere jalwe dikha diye
vahdat ne har taraf tire jalve dikhā diye
parde ta.ayyunāt ke jo the uThā diye
huuñ kushta-e-taġhāful-e-hastī-e-be-sabāt
ḳhātir se kaun kaun na us ne bhulā diye
rotī hai chashm ab ta.iiñ ye terī dād-ḳhvāh
kitne hī teġh-e-abrū ne qisse chukā diye
donoñ jahāñ kī na rahī phir ḳhabar use
do pyāle terī āñkhoñ ne jis ko pilā diye
chāho vafā kaaro na kaaro iḳhtiyār hai
ḳhatre jo apne jī meñ the vo sab uThā diye
sailāb-e-ashk-e-garm ne a.azā mere tamām
ai 'dard' kuchh bahā diye aur kuchh jalā diye
wahdat ne har taraf tere jalwe dikha diye
parde tayyunat ke jo the uTha diye
hun kushta-e-taghaful-e-hasti-e-be-sabaat
KHatir se kaun kaun na us ne bhula diye
roti hai chashm ab tain ye teri dad-KHwah
kitne hi tegh-e-abru ne qisse chuka diye
donon jahan ki na rahi phir KHabar use
do pyale teri aankhon ne jis ko pila diye
chaho wafa karo na karo iKHtiyar hai
KHatre jo apne ji mein the wo sab uTha diye
sailab-e-ashk-e-garm ne aaza mere tamam
ai 'dard' kuchh baha diye aur kuchh jala diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.