Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

raunde hai naqsh-e-pa ki tarah KHalq yan mujhe

Khwaja Meer Dard

raunde hai naqsh-e-pa ki tarah KHalq yan mujhe

Khwaja Meer Dard

MORE BYKhwaja Meer Dard

    rauñde hai naqsh-e-pā tarah ḳhalq yaañ mujhe

    ai umr-e-rafta chhoḌ ga.ī kahāñ mujhe

    ai gul raḳht bāñdh uThā.ūñ maiñ āshiyāñ

    gulcheñ tujhe na dekh sake bāġhbāñ tujhe

    rahtī hai koī bin ka.e mere ta.iiñ tamām

    juuñ sham.a chhoḌne nahīñ ye zabāñ mujhe

    patthar tale haath hai ġhaflat ke haath dil

    sañg-e-girāñ huī hai ye ḳhvāb-e-girāñ mujhe

    kuchh aur kunj-e-ġham ke sivā sūjhtā nahīñ

    aatā hai yaad jab ki vo kunj vahāñ mujhe

    jaatā huuñ ḳhush-dimāġh jo sun kar use kabhū

    badle hai donoñ nazreñ vo dekhā jahāñ mujhe

    jaatā huuñ bas ki dam-ba-dam ab ḳhaak meñ milā

    hai ḳhizr-e-rāh 'dard' ye reg-e-ravāñ mujhe

    raunde hai naqsh-e-pa ki tarah KHalq yan mujhe

    ai umr-e-rafta chhoD gai tu kahan mujhe

    ai gul tu raKHt bandh uThaun main aashiyan

    gulchen tujhe na dekh sake baghban tujhe

    rahti hai koi bin kae mere tain tamam

    jun shama chhoDne ki nahin ye zaban mujhe

    patthar tale ka hath hai ghaflat ke hath dil

    sang-e-giran hui hai ye KHwab-e-giran mujhe

    kuchh aur kunj-e-gham ke siwa sujhta nahin

    aata hai yaad jab ki wo kunj wahan mujhe

    jata hun KHush-dimagh jo sun kar use kabhu

    badle hai donon hi nazren wo dekha jahan mujhe

    jata hun bas ki dam-ba-dam ab KHak mein mila

    hai KHizr-e-rah 'dard' ye reg-e-rawan mujhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now