diya hai kis ki nazar ne ye etibar mujhe
diyā hai kis kī nazar ne ye e'tibār mujhe
ki ek dam bhī nahīñ apne paas baar mujhe
sivā.e tere kasū se nahīñ hai vāshudyāñ
misāl-e-ā.īna ai chashm-e-intizār mujhe
hamesha apnī nazar meñ subuk maiñ rahtā huuñ
diyā hai auroñ kī nazroñ ne go vaqār mujhe
tumhāre va.ad-e-butāñ ḳhuub maiñ samajhtā huuñ
rahā hai aise hī logoñ se kārobār mujhe
ye kaun barq-e-tajallī huā hai āfat-e-jāñ
ki ek dam nahīñ juuñ sho.ala ab qarār mujhe
is amr meñ bhī ye be-iḳhtiyār hai banda
milā hai 'dard' agar yaañ kuchh iḳhtiyār mujhe
diya hai kis ki nazar ne ye e'tibar mujhe
ki ek dam bhi nahin apne pas bar mujhe
siwae tere kasu se nahin hai washudyan
misal-e-aina ai chashm-e-intizar mujhe
hamesha apni nazar mein subuk main rahta hun
diya hai auron ki nazron ne go waqar mujhe
tumhaare wad-e-butan KHub main samajhta hun
raha hai aise hi logon se karobar mujhe
ye kaun barq-e-tajalli hua hai aafat-e-jaan
ki ek dam nahin jun shoala ab qarar mujhe
is amr mein bhi ye be-iKHtiyar hai banda
mila hai 'dard' agar yan kuchh iKHtiyar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.