misl-e-nagin jo humse hua kaam rah gaya
misl-e-nagīñ jo ham se huā kaam rah gayā
ham rū-siyāh jaate rahe naam rah gayā
yā rab ye dil hai yā koī mehmāñ-sarā.e hai
ġham rah gayā kabhū kabhū ārām rah gayā
saaqī mire bhī dil kī taraf Tuk nigāh kar
lab-e-tishna terī bazm meñ ye jaam rah gayā
sau baar soz-e-'ishq ne dī aag par hunūz
dil vo kabāb thā ki jigar ḳhaam rah gayā
ham kab ke chal base the barā-e-muzda-e-visāl
kuchh aaj hote-hote sar-anjām rah gayā
muddat se vo tapāk to mauqūf ho ga.e
ab gāh-gāh bosa ba-paiġhām rah gayā
az baski ham ne harf-e-duī kā uThā diyā
ai 'dard' apne vaqt meñ ib.hām rah gayā
misl-e-nagin jo hum se hua kaam rah gaya
hum ru-siyah jate rahe nam rah gaya
ya rab ye dil hai ya koi mehman-sarae hai
gham rah gaya kabhu kabhu aaram rah gaya
saqi mere bhi dil ki taraf Tuk nigah kar
lab-e-tishna teri bazm mein ye jam rah gaya
sau bar soz-e-'ishq ne di aag par hunuz
dil wo kabab tha ki jigar KHam rah gaya
hum kab ke chal base the bara-e-muzda-e-visal
kuchh aaj hote-hote sar-anjam rah gaya
muddat se wo tapak to mauquf ho gae
ab gah-gah bosa ba-paigham rah gaya
az baski hum ne harf-e-dui ka uTha diya
ai 'dard' apne waqt mein ibham rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.