donon jahan ko raushan karata hai nur tera
donoñ jahāñ ko raushan karatā hai nuur terā
’ayāñ haiñ mazāhir zāhir zuhūr terā
yaañ iftiqār kā tū imkāñ sabab huā hai
ham hoñ na hoñ vale hai honā zarūr terā
bāhar na aa sakī tū qaid-e-ḳhudī se apnī
ai ’aql-e-be-haqīqat dekhā su'ūr terā
hai jalva-gāh terā kyā ġhaib kyā shahādat
yaañ bhī shuhūd terā vaañ bhī huzūr terā
jhuktā nahīñ hamārā dil to kisī taraf yaañ
jī meñ bharā huā hai az bas ġhurūr terā
ai 'dard' mumbasit hai har-sū kamāl us kā
nuqsān gar tū dekhe to hai qusūr terā
donon jahan ko raushan karata hai nur tera
’ayan hain mazahir zahir zuhur tera
yan iftiqar ka tu imkan sabab hua hai
hum hon na hon wale hai hona zarur tera
bahar na aa saki tu qaid-e-KHudi se apni
ai ’aql-e-be-haqiqat dekha su'ur tera
hai jalwa-gah tera kya ghaib kya shahadat
yan bhi shuhud tera wan bhi huzur tera
jhukta nahin hamara dil to kisi taraf yan
ji mein bhara hua hai az bas ghurur tera
ai 'dard' mumbasit hai har-su kamal us ka
nuqsan gar tu dekhe to hai qusur tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.