dil kis ki chashm-e-mast ka sarshaar ho gaya
dil kis kī chashm-e-mast kā sarshār ho gayā
kis kī nazar lagī jo ye bīmār ho gayā
kuchh hai ḳhabar tujhe bhī ki uTh uTh ke raat ko
āshiq tirī galī meñ ka.ī baar ho gayā
baiThā thā ḳhizr aake mere paas ek dam
ghabrā ke apnī ziist se be-zār ho gayā
chāk-e-jigar to saiñkaḌoñ ḳhātir meñ kuchh na the
dil kī tapish ke aage maiñ nā-chār ho gayā
khaTkī kabhī diloñ meñ na terī sadā jaras
naala mirā to chhūTte hī paar ho gayā
ai 'dard' ham se yaar hai ab to sulūk meñ
ḳhat zaḳhm-e-dil ko marham-e-zañgār ho gayā
dil kis ki chashm-e-mast ka sarshaar ho gaya
kis ki nazar lagi jo ye bimar ho gaya
kuchh hai KHabar tujhe bhi ki uTh uTh ke raat ko
aashiq teri gali mein kai bar ho gaya
baiTha tha KHizr aake mere pas ek dam
ghabra ke apni zist se be-zar ho gaya
chaak-e-jigar to sainkaDon KHatir mein kuchh na the
dil ki tapish ke aage main na-chaar ho gaya
khaTki kabhi dilon mein na teri sada jaras
nala mera to chhuTte hi par ho gaya
ai 'dard' hum se yar hai ab to sulūk mein
KHat zaKHm-e-dil ko marham-e-zangar ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.